Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aligarh chhoDne ke baad

Shakeel Badayuni

aligarh chhoDne ke baad

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    ham-nashīñ raat maġhmūm ḳhamoshī meñ mujhe

    duur kuchh dhīmī naġhmoñ sadā aatī hai

    jaise jaatī huī afsurda javānī pukār

    jis ko sun sun ke mirī ruuh laraz jaatī hai

    jaise ghaTtī huī maujoñ utartā huā shor

    mutriba jaise koī duur nikal jaatī hai

    havāoñ tarannum kisī vīrāne meñ

    jaise tanhā.ī meñ doshīza koī gaatī hai

    maiñ bahut ġhaur se naġhmāt sunā kartā huuñ

    sach to ye hai ki mirī jaan pe ban jaatī hai

    baar baar uTh ke maiñ jaatā huuñ sadāoñ taraf

    lekin ik shai hai jo vāpas mujhe le aatī hai

    chauñk uThtā huuñ jab us ḳhvāb se hairāñ ho kar

    phir mujhe dūsrī duniyā nazar aatī hai

    aah, vo bhuuk ke maare hue afrād hañseñ

    jin sūrat pe qanā.at bhī taras khātī hai

    jaise ujḌī huī mahfil ke kuchh afsurda charāġh

    raushnī meñ jinheñ har gaam pe Thukrātī hai

    aah vo hazrat-e-insān dard o sitam

    jis iz.hār bhī karte hue sharm aatī hai

    vo tarāne jo sunā kartā huuñ tanhā.ī meñ

    un tarānoñ meñ mujhe bū-e-vafā aatī hai

    gā.uñgā naġhme vo ta.amīr-e-mohabbat ke liye

    mai-kada chhoḌ diyā jin ishā.at ke liye

    ham-nashin raat ki maghmum KHamoshi mein mujhe

    dur kuchh dhimi si naghmon ki sada aati hai

    jaise jati hui afsurda jawani ki pukar

    jis ko sun sun ke meri ruh laraz jati hai

    jaise ghaTti hui maujon ka utarta hua shor

    mutriba jaise koi dur nikal jati hai

    ya hawaon ka tarannum kisi virane mein

    jaise tanhai mein doshiza koi gati hai

    main bahut ghaur se naghmat suna karta hun

    sach to ye hai ki meri jaan pe ban jati hai

    bar bar uTh ke main jata hun sadaon ki taraf

    lekin ek shai hai jo wapas mujhe le aati hai

    chaunk uThta hun jab us KHwab se hairan ho kar

    phir mujhe dusri duniya hi nazar aati hai

    aah, wo bhuk ke mare hue afrad hansen

    jin ki surat pe qanaat bhi taras khati hai

    jaise ujDi hui mahfil ke kuchh afsurda charagh

    raushni mein jinhen har gam pe Thukraati hai

    aah wo hazrat-e-insan hi ka dard o sitam

    jis ka izhaar bhi karte hue sharm aati hai

    wo tarane jo suna karta hun tanhai mein

    un taranon mein mujhe bu-e-wafa aati hai

    gaunga naghme wo tamir-e-mohabbat ke liye

    mai-kada chhoD diya jin ki ishaat ke liye

    Source:

    Kulliyat Shakeel (Pg. 333)

      • Publisher: Fareed Book Depot Pvt. Ltd.
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now