Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne dil mein Dar

Majeed Amjad

apne dil mein Dar

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    apne dil meñ Dar ho to ye bādal kis ko lubhā sakte haiñ

    apne dil meñ Dar ho to sab ruteñ Darāonī lagtī haiñ aur apnī taraf gardan

    jhuk jaatī hai

    ye to apnā hausla thā

    itne andeshoñ meñ bhī

    nazreñ apnī jānib nahīñ uThīñ aur is ghanghor ghane kohre meñ Duubī haiñ

    aur ab merī saarī duniyā is kohre meñ nahā.ī huī haryāval hissa hai

    merī ḳhushiyāñ bhī aur Dar bhī

    aur isī raste par maiñ ne lohe ke halqoñ meñ

    ik qaidī ko dekhā

    aahan chehra sipāhī jarsī rag us qaidī ke ruḳh par thā

    har andesha to ik kunDī hai jo dil ko apnī jānib khīñch ke rakhtī hai aur vo qaidī bhī

    khichā huā thā apne dil ke ḳhauf jānib jis koī rut nahīñ hotī

    maiñ bhī apne andeshoñ qaidī huuñ lekin us qaidī ke andeshe to

    ik mere sivā sab ke haiñ

    ik vahī apne apne dukh kunDī

    jis ke khichāo se ik ik gardan apnī jānib jhukī huī hai

    aise meñ ab kaun ghaTāoñ bharī us sub.h-e-bahārāñ ko dekhegā

    jo in bor lade andeshoñ par yuuñ jhukī huī hai aamoñ ke bāġhoñ meñ

    mirī ruuh ke sāmne

    apne dil mein Dar ho to ye baadal kis ko lubha sakte hain

    apne dil mein Dar ho to sab ruten Daraoni lagti hain aur apni taraf hi gardan

    jhuk jati hai

    ye to apna hausla tha

    itne andeshon mein bhi

    nazren apni jaanib nahin uThin aur is ghanghor ghane kohre mein ja Dubi hain

    aur ab meri sari duniya is kohre mein nahai hui haryawal ka hissa hai

    meri KHushiyan bhi aur Dar bhi

    aur isi raste par main ne lohe ke halqon mein

    ek qaidi ko dekha

    aahan chehra sipahi ki jarsi ka rag us qaidi ke ruKH par tha

    har andesha to ek kunDi hai jo dil ko apni jaanib khinch ke rakhti hai aur wo qaidi bhi

    khicha hua tha apne dil ke KHauf ki jaanib jis ki koi rut nahin hoti

    main bhi apne andeshon ka qaidi hun lekin us qaidi ke andeshe to

    ek mere siwa sab ke hain

    ek wahi apne apne dukh ki kunDi

    jis ke khichao se ek ek gardan apni jaanib jhuki hui hai

    aise mein ab kaun ghaTaon bhari us subh-e-bahaaran ko dekhega

    jo in bor lade andeshon par yun jhuki hui hai aamon ke baghon mein

    meri ruh ke samne

    Source:

    Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 556)

    • Author: Majiid Amjad
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot (p) Ltd.
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now