Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur tum dastaken dete raho

Moni Gopal Tapish

aur tum dastaken dete raho

Moni Gopal Tapish

MORE BYMoni Gopal Tapish

    jaane kyā baat hai kyuuñ niiñd nahīñ aatī hai

    raat bojhal hai sitāroñ nazar baiThī huī

    shab ke ḳhāmosh manāzir haiñ ajab ḳhauf-zada

    be-amāñ jaane kise DhūñDhne zid meñ abas

    duur ufaq paar kahīñ duur nikal jaatī hai

    sub.h uThtī hai to bachpan umañgeñ le kar

    aaj aa.egā koī raat ga.ī baat ga.ī

    din guzartā hai kisī aas ke pahlū meñ ravāñ

    ḳhalvateñ mahfil-e-rangīn meñ Dhal jaatī haiñ

    aaheñ naġhmoñ sadāoñ meñ nikhar jaatī haiñ

    shaam lau detī huī yaas ra.anā.ī meñ

    kaun aatā hai ḳhayāloñ ke sivā is ghar meñ

    kis ko aanā hai yahāñ kaun yahāñ aa.egā

    shaam se baat banāte hue din Dhalnā

    raat shaam se rañgīn kahānī sunñā

    raat niiñd se hotī huī chīma-goī

    paikar-e-nīñd TuuTā huā alsāyā badan

    rose hotā hai yuuñ muddateñ guzrīñ lekin

    kaash aisā ho kabhī niiñd na karvaT badle

    aur tum dastakeñ dete raho ham aa.e haiñ

    jaane kya baat hai kyun nind nahin aati hai

    raat bojhal hai sitaron ki nazar baiThi hui

    shab ke KHamosh manazir hain ajab KHauf-zada

    be-aman jaane kise DhunDhne ki zid mein abas

    dur ufaq par kahin dur nikal jati hai

    subh uThti hai to bachpan ki umangen le kar

    aaj aaega koi raat gai baat gai

    din guzarta hai kisi aas ke pahlu mein rawan

    KHalwaten mahfil-e-rangin mein Dhal jati hain

    aahen naghmon ki sadaon mein nikhar jati hain

    sham lau deti hui yas ki ranai mein

    kaun aata hai KHayalon ke siwa is ghar mein

    kis ko aana hai yahan kaun yahan aaega

    sham se baat banate hue din ka Dhalna

    raat ka sham se rangin kahani sunna

    raat ki nind se hoti hui chima-goi

    paikar-e-nind ka TuTa hua alsaya badan

    rose hota hai yun hi muddaten guzrin lekin

    kash aisa ho kabhi nind na karwaT badle

    aur tum dastaken dete raho hum aae hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now