Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

autograph

Majeed Amjad

autograph

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    Interesting Fact

    پاکستانی ٹیم کی انگلینڈ پر جیت کی خوشی میں پاکستانی ہائی کمیشن لندن نے کھلاڑیوں کے اعزاز میں استقبالیہ دیا تو اس موقع پر پاکستانی سفیر اختر حسین کی بیٹیاں نجمی حسین اور سلمی حسین 18 اگست 1954 کو کرکٹر فضل محمود سے آٹو گراف لے رہی تھیں۔ اس موقع پر اس منظر پر ایک تصویر بھی اخبارات میں گردش کر رہی تھی ۔ یہی تصویر مجید امجد کی اس نظم کا محرک بنی ۔

    khilāḌiyoñ ke ḳhud-navisht dastaḳhat ke vāste kitābche liye hue

    khaḌī haiñ muntazir hasīn laḌkiyāñ

    Dhalakte āñchaloñ se be-ḳhabar hasīn laḌkiyāñ

    muhīb phāTakoñ ke Dolte quarter chīḳh uThe

    ubal paḌe ulajhte bāzuoñ chaTaḳhtī pasliyoñ ke pur-hirās qāfile

    gire baḌhe muḌe bhañvar hujūm ke

    khaḌī haiñ ye bhī rāste pe ik taraf bayāz-e-ārzū-ba-kaf

    nazar nazar meñ nā-rasā parastishoñ dāstāñ

    laraz rahā hai dam-ba-dam kamān ābrūoñ ḳham

    koī jab ek nāz-e-be-niyāz se kitābchoñ pe khīñchtā chalā gayā

    Hurūf-e-kaj-tarāsh lakīr

    to tham ga.iiñ laboñ pe muskurāhaTeñ sharīr

    kisī aziim shaḳhsiyat tamkanat

    hinā.ī uñgliyoñ pe kāñpte varaq pe jhuk ga.ī

    to zar-nigār palluoñ se jhāñktī kalā.iyoñ tez nabz ruk ga.ī

    vo bowler ek mahvashoñ ke jamghaTe meñ ghir gayā vo safha-e-bayāz par

    ba-sad ġhurūr kilk-e-gauharīñ phireñ

    hasīn jhilmilāhaToñ ke darmiyāñ wicket girī

    maiñ ajnabī maiñ be-nishāñ maiñ pā-ba-gil

    na rif.at-e-maqām hai na shohrat-e-davām hai ye lauh-e-dil pe lauh-e-dil

    na us pe koī naqsh hai na us pe koī naam hai

    khilaDiyon ke KHud-nawisht dastaKHat ke waste kitabche liye hue

    khaDi hain muntazir hasin laDkiyan

    Dhalakte aanchalon se be-KHabar hasin laDkiyan

    muhib phaTakon ke Dolte quarter chiKH uThe

    ubal paDe ulajhte bazuon chaTaKHti pasliyon ke pur-hiras qafile

    gire baDhe muDe bhanwar hujum ke

    khaDi hain ye bhi raste pe ek taraf bayaz-e-arzu-ba-kaf

    nazar nazar mein na-rasa parastishon ki dastan

    laraz raha hai dam-ba-dam kaman aabruon ka KHam

    koi jab ek naz-e-be-niyaz se kitabchon pe khinchta chala gaya

    Huruf-e-kaj-tarash ki lakir si

    to tham gain labon pe muskurahaTen sharir si

    kisi azim shaKHsiyat ki tamkanat

    hinai ungliyon pe kanpte waraq pe jhuk gai

    to zar-nigar palluon se jhankti kalaiyon ki tez nabz ruk gai

    wo bowler ek mahwashon ke jamghaTe mein ghir gaya wo safha-e-bayaz par

    ba-sad ghurur kilk-e-gauharin phiren

    hasin jhilmilahaTon ke darmiyan wicket giri

    main ajnabi main be-nishan main pa-ba-gil

    na rifat-e-maqam hai na shohrat-e-dawam hai ye lauh-e-dil pe lauh-e-dil

    na us pe koi naqsh hai na us pe koi nam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now