aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

azali masarraton ki azali manzil

Ahmad Nadeem Qasmi

azali masarraton ki azali manzil

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    maTiyāle maTiyāle bādal ghuum rahe haiñ maidānoñ ke phailāv par

    dariyā dīvānī maujeñ humak humak kar hans detī haiñ ik naav par

    sāmne uude se parbat abr-ālūda choTī par hai ek shivālā

    jis ke aks tābānī se phail rahā hai chāroñ jānib ek ujālā

    jhilmil kartī ek mash.al se mehrāboñ ke gahre saa.e raqsīda haiñ

    har pariyāñ naach rahī haiñ jin ke aariz raḳhshāñ nazreñ duzdīda haiñ

    ambar aur lobān lahreñ doshīza zulfoñ pe aaise bal khātī haiñ

    chāñdī ke nāqūs tāneñ dhuñdle dhuñdle nazzāroñ meñ ghul jaatī haiñ

    haath baḌhā.e sar nihūuḌā.e patle sāyoñ ik jhurmuT ghuum rahā hai

    puujā lazzat meñ kho kar mandir ke tābinda ziine chuum rahā hai

    ek bahut patlī pagDanDī sāhil-e-dariyā se mandir tak kaañp rahī hai

    naav chalāne vaalī laḌkī chappū ko māthe se lagā.e haañp rahī hai

    dīvānī ko kaun batā.e us mandir dhun meñ sab thak-hār ga.e haiñ

    saa.e ban ke ghuum rahe haiñ jo be-bāk chalāne vaale paar ga.e haiñ

    vo jab naav se utregī maTiyāle maTiyāle bādal ghir ā.eñge

    maidānoñ par kohsāroñ par dariyā par naav par sab par chhā jā.eñge

    avval to pagDanDī kho kar gir jā.egī ġhāroñ ġhāroñ meñ bechārī

    bach niklī to ho jā.egī us ke nāzuk dil par ik haibat taarī

    hosh meñ aa.ī to rag rag par ek nasha be-hoshī chhāyā hogā

    jism ke badle us mandir meñ dhundlā ik lachkīlā saayā hogā

    maTiyale maTiyale baadal ghum rahe hain maidanon ke phailaw par

    dariya ki diwani maujen humak humak kar hans deti hain ek naw par

    samne ude se parbat ki abr-aluda choTi par hai ek shiwala

    jis ke aks ki tabani se phail raha hai chaaron jaanib ek ujala

    jhilmil karti ek mashal se mehrabon ke gahre sae raqsida hain

    har su pariyan nach rahi hain jin ke aariz raKHshan nazren duzdida hain

    ambar aur loban ki lahren doshiza ki zulfon pe aaise bal khati hain

    chandi ke naqus ki tanen dhundle dhundle nazzaron mein ghul jati hain

    hath baDhae sar nihuuDae patle sayon ka ek jhurmuT ghum raha hai

    puja ki lazzat mein kho kar mandir ke tabinda zine chum raha hai

    ek bahut patli pagDanDi sahil-e-dariya se mandir tak kanp rahi hai

    naw chalane wali laDki chappu ko mathe se lagae hanp rahi hai

    diwani ko kaun batae us mandir ki dhun mein sab thak-haar gae hain

    sae ban ke ghum rahe hain jo be-bak chalane wale par gae hain

    wo jab naw se utregi maTiyale maTiyale baadal ghir aaenge

    maidanon par kohsaron par dariya par naw par sab par chha jaenge

    awwal to pagDanDi kho kar gir jaegi ghaaron ghaaron mein bechaari

    bach nikli to ho jaegi us ke nazuk dil par ek haibat si tari

    hosh mein aai to rag rag par ek nasha sa be-hoshi ka chhaya hoga

    jism ke badle us mandir mein dhundla ek lachkila saya hoga

    Source:

    kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 307)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now