Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

azmat-e-adam

Abdul Majeed Bhatti

azmat-e-adam

Abdul Majeed Bhatti

MORE BYAbdul Majeed Bhatti

    ham tumheñ qatl kar deñge magar aaj raat

    mat kaho beTī bahū aur bahan

    tum to ho ek hasīñ mashġhala-e-aish-o-nishāt

    aaj tak dekhī na thī jis jhalak

    gorā gorā bharā jism gudāz

    jis ne armānoñ meñ ik aag lagā rakkhī hai

    siskiyāñ band karo aur bilaknā chhoḌo

    apne vāvailā se ab aur munaġhġhis na karo

    chhoḌ do apne azīzoñ ḳhayāl

    jin meñ nāmūs pe kaT marne himmat na thī

    bhaag nikle haiñ jo jiine tamannā le kar

    bhuul jaao ki kabhī un se bhī nisbat thī tumheñ

    sūrmāoñ se milo un ye azmat samjho

    mahfil-e-aish ko haañ aur munaġhġhaz na karo

    ye navāzish nahīñ kuchh kam ki chunā hai ham ne

    tumheñ is mahfil-e-ishrat ko sajāne ke liye

    do ghaḌī rañg jamāne ke liye

    poñchh lo aañsū phirā lo āñkheñ

    laash bachche nahīñ ye to hai zillat nishāñ

    kaise insānoñ se nisbat thī tumheñ

    ham ne to rahm se ḳhāmosh kiyā hai us ko

    varna ham ye bhī to kar sakte the

    haath aur pair qalam kar ke use taḌpāte

    ek ik boTī uḌāte tumheñ dukh pahuñchāte

    tum to ḳhush-baḳht ho aayā nahīñ yuuñ taish hameñ

    ye to manzūr thā ḳhalal-e-aish hameñ

    jaam par jaam uThātī huī do saath abhī

    chhoḌ do ab ye taḌap aur phaḌak

    is tarah rukte bhī haiñ baḌhte hue haath kabhī

    aaj raat faqat aaj raat

    ek pal bhī ta.ammul hameñ manzūr nahīñ

    varna kuchh duur nahīñ

    apnī sañgat ke liye paas bulā leñ tum ko

    sāmne chhat se jo laTkī haiñ tumhārī bahneñ

    chhātiyāñ jin haiñ pairoñ meñ paḌī

    aur jismoñ meñ khube haiñ bhāle

    apne baḌhte hue hāthoñ ke jhaTakne sazā

    ye dahakte hue bhāle bhī haiñ añgāre bhī

    aur rassī jagah ye haiñ tumhārī zulfeñ

    aaj raat magar aaj raat

    ek pal bhī ta.ammul hameñ manzūr nahīñ

    muskurāo baḌho aur jaam uThāo

    shām-e-ġham kaisī hai ab sub.h-e-masarrat ban jaao

    ham tumheñ qatl kar deñge tumhārī ḳhātir

    taaki nāmard zalīl aur kamīne vo aziiz

    bhaag nikle haiñ jo jiine tamannā le kar

    dekh paa.eñ to na ye kah ke tumheñ sharmā.eñ

    apne haañ beTī bahū koī na thī koī na thī

    haañ jo is naam laḌkī thī vo mar khap bhī ga.ī

    aur tumhāre vo aziiz

    in izzat bhī rahe aan bhī baaqī rah jaa.e

    jin ke hisse meñ na ġhairat hai na maut

    ham tumheñ qatl kar deñge magar aaj raat

    hum tumhein qatl hi kar denge magar aaj ki raat

    mat kaho beTi bahu aur bahan

    tum to ho ek hasin mashghala-e-aish-o-nishat

    aaj tak dekhi na thi jis ki jhalak

    gora gora sa bhara jism gudaz

    jis ne armanon mein ek aag laga rakkhi hai

    siskiyan band karo aur bilakna chhoDo

    apne wawaila se ab aur munaghghis na karo

    chhoD do apne azizon ka KHayal

    jin mein namus pe kaT marne ki himmat hi na thi

    bhag nikle hain jo jine ki tamanna le kar

    bhul jao ki kabhi un se bhi nisbat thi tumhein

    surmaon se milo un ki ye azmat samjho

    mahfil-e-aish ko han aur munaghghaz na karo

    ye nawazish nahin kuchh kam ki chuna hai hum ne

    tumhein is mahfil-e-ishrat ko sajaane ke liye

    do ghaDi rang jamane ke liye

    ponchh lo aansu phira lo aankhen

    lash bachche ki nahin ye to hai zillat ka nishan

    kaise insanon se nisbat thi tumhein

    hum ne to rahm se KHamosh kiya hai us ko

    warna hum ye bhi to kar sakte the

    hath aur pair qalam kar ke use taDpate

    ek ek boTi uDate tumhein dukh pahunchate

    tum to KHush-baKHt ho aaya nahin yun taish hamein

    ye to manzur tha KHalal-e-aish hamein

    jam par jam uThati hui do sath abhi

    chhoD do ab ye taDap aur phaDak

    is tarah rukte bhi hain baDhte hue hath kabhi

    aaj ki raat faqat aaj ki raat

    ek pal ka bhi tammul hamein manzur nahin

    warna kuchh dur nahin

    apni sangat ke liye pas bula len tum ko

    samne chhat se jo laTki hain tumhaari bahnen

    chhatiyan jin ki hain pairon mein paDi

    aur jismon mein khube hain bhaale

    apne baDhte hue hathon ke jhaTakne ki saza

    ye dahakte hue bhaale bhi hain angare bhi

    aur rassi ki jagah ye hain tumhaari zulfen

    aaj ki raat magar aaj raat

    ek pal ka bhi tammul hamein manzur nahin

    muskurao baDho aur jam uThao

    sham-e-gham kaisi hai ab subh-e-masarrat ban jao

    hum tumhein qatl hi kar denge tumhaari KHatir

    taki namard zalil aur kamine wo aziz

    bhag nikle hain jo jine ki tamanna le kar

    dekh paen to na ye kah ke tumhein sharmaen

    apne han beTi bahu koi na thi koi na thi

    han jo is nam ki laDki thi wo mar khap bhi gai

    aur tumhaare wo aziz

    in ki izzat bhi rahe aan bhi baqi rah jae

    jin ke hisse mein na ghairat hai na maut

    hum tumhein qatl hi kar denge magar aaj ki raat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now