Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barish

Abrar Ahmad

barish

Abrar Ahmad

MORE BYAbrar Ahmad

    āfāq se qatra qatra girtī hai

    sannāTe ke ziine se

    is dhartī ke siine meñ

    tārīḳh ke aivānoñ meñ dar aatī hai

    aur bahā le jaatī hai

    jazboñ aur īmānoñ ko

    maile dastar-ḳhvānoñ ko

    jab banjar dhartī ke māthe ko bosa detī hai

    kitnī soī āñkheñ karvaT letī haiñ

    aatī hai

    aur tirī aamad ke nam se

    pyāse bartan bhar jaate haiñ

    tere haath baḌhe aate haiñ

    gadlī nīndeñ le jaate haiñ

    terī lambī poroñ se

    diloñ meñ girheñ khul jaatī haiñ

    kaalī rāteñ dhul jaatī haiñ

    aatī hai

    pāgal āvāzoñ kīchaḌ

    saḌkoñ par uḌne lagtā hai

    aatī hai

    aur uḌā le jaatī hai

    ḳhāmoshī ke ḳhemoñ ko

    aur hoñToñ shāḳhoñ par

    motī Dolne lagte haiñ

    panchhī bolne lagte haiñ

    jab band kivāḌoñ meñ aur diloñ par dastak detī hai

    saarī bāteñ kah jaane ko kartā hai

    tere saath

    bah jaane ko kartā hai

    tu aafaq se qatra qatra girti hai

    sannaTe ke zine se

    is dharti ke sine mein

    tu tariKH ke aiwanon mein dar aati hai

    aur baha le jati hai

    jazbon aur imanon ko

    maile dastar-KHwanon ko

    tu jab banjar dharti ke mathe ko bosa deti hai

    kitni soi aankhen karwaT leti hain

    tu aati hai

    aur teri aamad ke nam se

    pyase bartan bhar jate hain

    tere hath baDhe aate hain

    gadli ninden le jate hain

    teri lambi poron se

    dilon mein girhen khul jati hain

    kali raaten dhul jati hain

    tu aati hai

    pagal aawazon ka kichaD

    saDkon par uDne lagta hai

    tu aati hai

    aur uDa le jati hai

    KHamoshi ke KHemon ko

    aur honTon ki shaKHon par

    moti Dolne lagte hain

    panchhi bolne lagte hain

    tu jab band kiwaDon mein aur dilon par dastak deti hai

    sari baaten kah jaane ko ji karta hai

    tere sath hi

    bah jaane ko ji karta hai

    Source:

    Aakhrii Din Se pehle (Pg. 42)

    • Author: Abrar Ahmed
      • Edition: 1997
      • Publisher: Tahir Aslam Gora, Gora Publishers
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now