Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat phansi ke din ki nahin

Shariq Kaifi

baat phansi ke din ki nahin

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    oxygen tube

    aur phāñsī ke phande meñ vaise bhī kyā farq hai

    baat phāñsī phāñsī ke din nahīñ

    maut bhī nahīñ

    baat to laash ke mazhaka-ḳhez lagne hai

    fikr lāshe hai

    jaane kaisī lage?

    ek fuT lambī patlī gardan

    mire itne bhārī badan par

    aur zabāñ?

    vo jo sunte haiñ itnī nikal aa.egī muñh ke bāhar

    kālī-mā.ī sūrat

    kahīñ vo Darā to nahīñ degī bachchoñ ko mere

    aur vo sab nek insān jo ġhusl deñge mire jism ko

    so bhī pā.eñge kyā chain se?

    mirā bhuut un ko Darātā rahegā mahīnoñ talak

    maiñ nahīñ chāhtā koī mujh se Dare

    koī mujh par hañse

    zindagī ik latīfe sūrat kaTī kuchh shikāyat nahīñ

    haañ magar

    laash shakl meñ maz.haka-ḳhez lagne se Dartā huuñ maiñ

    baat itnī hai

    baat phāñsī phāñsī ke din nahīñ

    oxygen ki tube

    aur phansi ke phande mein waise bhi kya farq hai

    baat phansi ya phansi ke din ki nahin

    maut ki bhi nahin

    baat to lash ke mazhaka-KHez lagne ki hai

    fikr lashe ki hai

    jaane kaisi lage?

    ek fuT lambi patli si gardan

    mere itne bhaari badan par

    aur zaban?

    wo jo sunte hain itni nikal aaegi munh ke bahar

    kali-mai ki surat

    kahin wo Dara to nahin degi bachchon ko mere

    aur wo sab nek insan jo ghusl denge mere jism ko

    so bhi paenge kya chain se?

    ya mera bhut un ko Daraata rahega mahinon talak

    main nahin chahta koi mujh se Dare

    koi mujh par hanse

    zindagi ek latife ki surat kaTi kuchh shikayat nahin

    han magar

    lash ki shakl mein mazhaka-KHez lagne se Darta hun main

    baat itni si hai

    baat phansi ya phansi ke din ki nahin

    Source:

    Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 151)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: 2nd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now