Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

banaras

Akhtar Shirani

banaras

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    har ik ko bhātī hai dil se fazā banaras

    vo ghaaT aur vo ThanDī havā banaras

    vo mandiroñ meñ pujāriyoñ hujūm

    vo ghanTiyoñ sadā vo fazā banaras

    tamām hind meñ mash.hūr hai yahāñ sahar

    kuchh is qadar hai sahar ḳhushnumā banaras

    pujāriyoñ nahānā vo ghaaT par aa kar

    vo sub.h-dam fazā dil-kushā banaras

    vo kashtiyoñ samāñ aur vo sair gañgā

    vo ThanDī ThanDī havā jāñ-fizā banaras

    hamāre dil se nikaltī hai ye duā 'aḳhtar'

    ki phir bhī shakl dikhā.e ḳhudā banaras

    har ek ko bhati hai dil se faza banaras ki

    wo ghaT aur wo ThanDi hawa banaras ki

    wo mandiron mein pujariyon ka hujum

    wo ghanTiyon ki sada wo faza banaras ki

    tamam hind mein mashhur hai yahan ki sahar

    kuchh is qadar hai sahar KHushnuma banaras ki

    pujariyon ka nahana wo ghaT par aa kar

    wo subh-dam ki faza dil-kusha banaras ki

    wo kashtiyon ka saman aur wo sair ganga ki

    wo ThanDi ThanDi hawa jaan-fiza banaras ki

    hamare dil se nikalti hai ye dua 'aKHtar'

    ki phir bhi shakl dikhae KHuda banaras ki

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now