Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bayaz-e-dil

MORE BYBegum Sultana Zakir Ada

    bayāz-e-dil ko jo kholeñ to justujū hogī

    har ek saf.ha-e-hastī guftugū hogī

    unheñ ye zid ki na aao hamārī mahfil meñ

    hameñ gumāñ rahā kuchh to vafā ḳhū hogī

    isī sabab se thā ai nāma-bar tujhe rokā

    ki ab to baat jo hogī vo rū-ba-rū hogī

    mizāj un samajhnā kisī ke bas meñ nahīñ

    vafā baat par aisī bhī tum se hogī

    dilā.eñ laakh yaqīn ham magar vo kyoñ maane

    jo baat ghar se chalegī har ek hogī

    chhupā ke rakkhā hai palkoñ ne ik samundar ko

    jo chashm-e-nam se girī buuñd vo lahū hogī

    sitāre Duub ke laa.e ḳhabar sahar 'adā'

    kudūratoñ ko haTāo to dil meñ zau hogī

    bayaz-e-dil ko jo kholen to justuju hogi

    har ek safha-e-hasti ki guftugu hogi

    unhen ye zid ki na aao hamari mahfil mein

    hamein guman raha kuchh to wafa ki KHu hogi

    isi sabab se tha ai nama-bar tujhe roka

    ki ab to baat jo hogi wo ru-ba-ru hogi

    mizaj un ka samajhna kisi ke bas mein nahin

    wafa ki baat par aisi bhi tum se tu hogi

    dilaen lakh yaqin hum magar wo kyon mane

    jo baat ghar se chalegi har ek su hogi

    chhupa ke rakkha hai palkon ne ek samundar ko

    jo chashm-e-nam se giri bund wo lahu hogi

    sitare Dub ke lae KHabar sahar ki 'ada'

    kuduraton ko haTao to dil mein zau hogi

    Source:

    Numood-e-Sahar (Pg. 86)

    • Author: Begum Sultana Zakir Ada
      • Publisher: Javedan, Karachi
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now