Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-nishan hone se pahle

Abdul Ahad Saaz

be-nishan hone se pahle

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    zindagī ik duur tak sañgīt thī ab shor hai

    haañ magar is shor ke bikhrāv meñ

    be-mahābā saut ke Takrāv meñ

    shāyad abhī andoḳhta kuchh zer-o-bam hoñ

    aao ham tum

    koī zer-o-bam talāsheñ

    koī pech-o-ḳham tarāsheñ

    aur is tartīb-kārī shu.ūrī koshishoñ ko

    lā-shu.ūrī naġhmagī āḳhirī miTtī huī guuñj se añgez kar ke

    ek shab

    koī ik āhañg de deñ

    is se pahle ki ye shor-e-nā-tamām

    sūr-e-isrāfīl ke itmām meñ kho jaa.e

    hashr uTThe aur qayāmat aa.e

    aur ham ko jhoñk de āvāz ke ik munqat'a rishte ke dozaḳh meñ

    faisla kar de hamāre darmiyāñ

    ik dā.imī ḳhud-nā-shanāsī ke jahannam

    is se pahle

    aao ham tum

    is ḳhalīj-e-nā-rasā.ī par

    sadā ke pul banā deñ

    be-nishāñ hone se pahle

    is zamīñ par āḳhirī pahchān duniyā basā leñ

    zindagi ek dur tak sangit thi ab shor hai

    han magar is shor ke bikhraw mein

    be-mahaba saut ke Takraw mein

    shayad abhi andoKHta kuchh zer-o-bam hon

    aao hum tum

    koi zer-o-bam talashen

    koi pech-o-KHam tarashen

    aur is tartib-kari ki shuuri koshishon ko

    la-shuuri naghmagi ki aaKHiri miTti hui si gunj se angez kar ke

    ek shab

    koi ek aahang de den

    is se pahle ki ye shor-e-na-tamam

    sur-e-israfil ke itmam mein kho jae

    hashr uTThe aur qayamat aae

    aur hum ko jhonk de aawaz ke ek munqat'a rishte ke dozaKH mein

    faisla kar de hamare darmiyan

    ek daimi KHud-na-shanasi ke jahannam ka

    is se pahle

    aao hum tum

    is KHalij-e-na-rasai par

    sada ke pul bana den

    be-nishan hone se pahle

    is zamin par aaKHiri pahchan ki duniya basa len

    Source:

    sargoshiyan zamanon ki (Pg. 16)

    • Author: abdul ahad saaz
      • Edition: 2003
      • Publisher: madran publication house 9,gola market daryagan new delhi
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now