aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hiras

MORE BYSahir Ludhianvi

    tere hoñToñ pe tabassum vo halkī lakīr

    mere taḳh.īl meñ rah rah ke jhalak uThtī hai

    yuuñ achānak tire aariz ḳhayāl aatā hai

    jaise zulmat meñ koī sham.a bhaḌak uThtī hai

    tere pairāhan-e-rañgīñ junūñ-ḳhez mahak

    ḳhvāb ban ban ke mire zehn meñ lahrātī hai

    raat sard ḳhamoshī meñ har ik jhoñke se

    tere anfās tire jism aañch aatī hai

    maiñ sulagte hue rāzoñ ko ayaañ to kar duuñ

    lekin un rāzoñ tash.hīr se Dartā hai

    raat ke ḳhvāb ujāle meñ bayāñ to kar duuñ

    un hasīñ ḳhvāboñ tābīr se Dartā hai

    terī sāñsoñ thakan terī nigāhoñ sukūt

    dar-haqīqat koī rañgīn sharārat na ho

    maiñ jise pyaar andāz samajh baiThā huuñ

    vo tabassum vo takallum tirī aadat na ho

    sochtā huuñ ki tujhe mil ke maiñ jis soch meñ huuñ

    pahle us soch maqsūm samajh luuñ to kahūñ

    maiñ tire shahr meñ anjān huuñ pardesī huuñ

    tere altāf mafhūm samajh luuñ to kahūñ

    kahīñ aisā na ho paañv mire tharrā jaa.eñ

    aur tirī marmarīñ bāñhoñ sahārā na mile

    ashk bahte raheñ ḳhāmosh siyah rātoñ meñ

    aur tire reshmī āñchal kinārā na mile

    tere honTon pe tabassum ki wo halki si lakir

    mere taKHil mein rah rah ke jhalak uThti hai

    yun achanak tere aariz ka KHayal aata hai

    jaise zulmat mein koi shama bhaDak uThti hai

    tere pairahan-e-rangin ki junun-KHez mahak

    KHwab ban ban ke mere zehn mein lahraati hai

    raat ki sard KHamoshi mein har ek jhonke se

    tere anfas tere jism ki aanch aati hai

    main sulagte hue raazon ko ayan to kar dun

    lekin un raazon ki tashhir se ji Darta hai

    raat ke KHwab ujale mein bayan to kar dun

    un hasin KHwabon ki tabir se ji Darta hai

    teri sanson ki thakan teri nigahon ka sukut

    dar-haqiqat koi rangin shararat hi na ho

    main jise pyar ka andaz samajh baiTha hun

    wo tabassum wo takallum teri aadat hi na ho

    sochta hun ki tujhe mil ke main jis soch mein hun

    pahle us soch ka maqsum samajh lun to kahun

    main tere shahr mein anjaan hun pardesi hun

    tere altaf ka mafhum samajh lun to kahun

    kahin aisa na ho panw mere tharra jaen

    aur teri marmarin banhon ka sahaara na mile

    ashk bahte rahen KHamosh siyah raaton mein

    aur tere reshmi aanchal ka kinara na mile

    RECITATIONS

    Hamida Bano

    Hamida Bano,

    Hamida Chopra

    Hamida Chopra,

    Hamida Bano

    hiras Hamida Bano

    Hamida Chopra

    hiraas Hamida Chopra

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now