Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhaTki hui bewa

Ameer Aurangabadi

bhaTki hui bewa

Ameer Aurangabadi

MORE BYAmeer Aurangabadi

    barsāt mausam raat añdherī dil pe bhī haibat chhā.ī huī

    thā peḌ nazar aatā na koī ghir ghir ghaTā thī aa.ī huī

    tūfān thā bād-o-bārāñ bijlī bhī kaḌaktī phirtī thī

    sardī se phaTā jaatā thā badan vo barf zamīñ par girtī thī

    thī rāsta bhūlī ik beva aur daaġh jigar par khaa.ī huī

    rag rag se Tapaktī hasrat thī aur sar pe ajal mañDlā.ī huī

    thā baal rañDāpā sog nayā kapḌe the phaTe zaḳhmī thā jigar

    miltī thī koī us ko na panāh phir phir ke palaT aatī thī nazar

    biptā vo maarī aisī thī duniyā meñ koī dildār na thā

    thī saarī ḳhudā.ī pesh-e-nazar par us koī ġham-ḳhvār na thā

    māñ-bāp haiñ us ke jannat meñ aur sair haiñ karte shām-o-sahar

    aur gor meñ bachche khelte haiñ saath apne pitā ke aaTh pahar

    ye kheltā un ko dekh sake ik saudā samāyā thā sar meñ

    siine se lagā kar pyaar kare thā shauq ye qalb-e-muztar meñ

    pahlū meñ chhupā.e hasrat ko sahrāoñ meñ thī vo ghuum rahī

    ruk ruk ke qadam ko baḌhātī thī mastoñ tarah thī jhuum rahī

    āḳhir vo girī be-dam ho kar kāñToñ se ladī ik jhāḌī par

    thā hosh na us ko apnā kuchh thā dil meñ na us ke ḳhauf-o-ḳhatar

    jaatī hai fazā-e-jannat meñ dukh-dard vo saare bhūlegī

    ulfat ke tarāne kar jhūle meñ ḳhushī ke jhūlegī

    barsat ka mausam raat andheri dil pe bhi haibat chhai hui

    tha peD nazar aata na koi ghir ghir ghaTa thi aai hui

    tufan tha baad-o-baran ka bijli bhi kaDakti phirti thi

    sardi se phaTa jata tha badan wo barf zamin par girti thi

    thi rasta bhuli ek bewa aur dagh jigar par khai hui

    rag rag se Tapakti hasrat thi aur sar pe ajal manDlai hui

    tha baal ranDapa sog naya kapDe the phaTe zaKHmi tha jigar

    milti thi koi us ko na panah phir phir ke palaT aati thi nazar

    bipta ki wo mari aisi thi duniya mein koi dildar na tha

    thi sari KHudai pesh-e-nazar par us ka koi gham-KHwar na tha

    man-bap hain us ke jannat mein aur sair hain karte sham-o-sahar

    aur gor mein bachche khelte hain sath apne pita ke aaTh pahar

    ye khelta un ko dekh sake ek sauda samaya tha sar mein

    sine se laga kar pyar kare tha shauq ye qalb-e-muztar mein

    pahlu mein chhupae hasrat ko sahraon mein thi wo ghum rahi

    ruk ruk ke qadam ko baDhati thi maston ki tarah thi jhum rahi

    aaKHir wo giri be-dam ho kar kanTon se ladi ek jhaDi par

    tha hosh na us ko apna kuchh tha dil mein na us ke KHauf-o-KHatar

    jati hai faza-e-jannat mein dukh-dard wo sare bhulegi

    ulfat ke tarane ga ga kar jhule mein KHushi ke jhulegi

    Source:

    Man ki Bansuri (Pg. 42)

    • Author: Ameer Aurangabadi
      • Publisher: Matba Ahad Aafrin, Deccan
      • Year of Publication: 1930
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now