Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaT wala

Abdul Mateen Niyaz

chaT wala

Abdul Mateen Niyaz

MORE BYAbdul Mateen Niyaz

    pakvān kyā maze ke laatā hai chaaT vaalā

    le kar baḌā thailā aatā hai chaaT vaalā

    bamba.ī bhail-pūrī ujjain kachaurī

    khā kar inheñ huī hai har ik zabāñ chaTorī

    ragḌā masāla bachcho jis shaḳhs ne na khāyā

    samjho ki zindagī us ne maza na paayā

    Tikyāñ ye ālūoñ is par maze ke chhole

    lazzat jo un paa.e gūñgā zabān khole

    dekho dahī-baḌā to aatā hai muñh meñ paanī

    aksar to naam un laatā hai muñh meñ paanī

    yuuñ surḳh se tule haiñ ye papḌiyāñ samose

    jo ik nazar bhī dekhe khāne baat soche

    garmā-garam pakauḌe chaTnī phir imliyoñ

    aalū baḌe maze ke mircheñ bhī tez tīkhī

    khānā zarūr bachcho āḳhir meñ paanī puurī

    is ko agar na khaao phir chaaT hai adhūrī

    likhī 'niyāz' ne bhī ye nazm chaaT khā kar

    tum bhī sunāo bachcho sab ko ye nazm kar

    pakwan kya maze ke lata hai chaT wala

    le kar baDa sa thaila aata hai chaT wala

    bambai ki bhail-puri ujjain ki kachauri

    kha kar inhen hui hai har ek zaban chaTori

    ragDa masala bachcho jis shaKHs ne na khaya

    samjho ki zindagi ka us ne maza na paya

    Tikyan ye aaluon ki is par maze ke chhole

    lazzat jo un ki pae gunga zaban khole

    dekho dahi-baDa to aata hai munh mein pani

    aksar to nam un ka lata hai munh mein pani

    yun surKH se tule hain ye papDiyan samose

    jo ek nazar bhi dekhe khane ki baat soche

    garma-garam pakauDe chaTni phir imliyon ki

    aalu baDe maze ke mirchen bhi tez tikhi

    khana zarur bachcho aaKHir mein pani puri

    is ko agar na khao phir chaT hai adhuri

    likhi 'niyaz' ne bhi ye nazm chaT kha kar

    tum bhi sunao bachcho sab ko ye nazm ga kar

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now