Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chal nahin sakti

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

chal nahin sakti

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    siyāsat meñ kabhī firqa-parastī chal nahīñ saktī

    huā sūrāḳh peñde meñ to kashtī chal nahīñ saktī

    hamāre biich haiñ ab dushman-e-insāniyat itne

    zamīñ par ab falak chīra-dastī chal nahīñ saktī

    pareshānī bad-amnī aur mahñgā.ī hālat meñ

    hukūmat chal to saktī hai grihastī chal nahīñ saktī

    baḌhā.ūñ daam apne kyoñ na maiñ aisī girānī meñ

    chalan jab hai ki koī chiiz sastī chal nahīñ saktī

    kahā netā ne bhūk-haḌtāl kar ke dūsre din

    ab is se aage merī fāqa-mastī chal nahīñ saktī

    nasha ab kyā chaḌhe saaqī ne jab ye kah diyā muñh par

    yahāñ had se ziyāda bāda-mastī chal nahīñ saktī

    ye sun lo 'ḳhvāh-maḳhvāh' jab saaTh se ho jāoge uupar

    mohabbat chal bhī jaa.e tandurustī chal nahīñ saktī

    siyasat mein kabhi firqa-parasti chal nahin sakti

    hua suraKH pende mein to kashti chal nahin sakti

    hamare bich hain ab dushman-e-insaniyat itne

    zamin par ab falak ki chira-dasti chal nahin sakti

    pareshani bad-amni aur mahngai ki haalat mein

    hukumat chal to sakti hai grihasti chal nahin sakti

    baDhaun dam apne kyon na main aisi girani mein

    chalan jab hai ki koi chiz sasti chal nahin sakti

    kaha neta ne bhuk-haDtal kar ke dusre hi din

    ab is se aage meri faqa-masti chal nahin sakti

    nasha ab kya chaDhe saqi ne jab ye kah diya munh par

    yahan had se ziyaada baada-masti chal nahin sakti

    ye sun lo 'KHwah-maKHwah' jab saTh se ho jaoge upar

    mohabbat chal bhi jae tandurusti chal nahin sakti

    Source:

    Ba Farz-e-Muhal (Pg. 68)

    • Author: Ghaus Khah makhah Hyderabadi
      • Publisher: Qalam Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 1992

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now