Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-sawal!

Moin Ahsan Jazbi

chashm-e-sawal!

Moin Ahsan Jazbi

MORE BYMoin Ahsan Jazbi

    haañ ai ġharīb laḌkī bhiik māñgtī hai

    chashm-e-savāl terī kuchh kah ke jhuk ga.ī hai

    bhiik māñgtī hai sharm-o-hayā maarī

    aur sar se le ke tak hai kapkapī taarī

    āñkhoñ meñ hai namī ā.īna jabīñ hai

    tujh ko gadāgarī aadat abhī nahīñ hai

    qismat meñ gesuoñ ā.īna hai na shāna

    shāyad tirī nazar meñ tārīk hai zamāna

    ye terā jism-e-nāzuk bosīda pairahan meñ

    jaise gul-e-fasurda ujḌe hue chaman meñ

    jhuk jaa.eñ tere aage shaitān nigāheñ

    par khā rahī haiñ tujh ko insān nigāheñ

    pākīzgī pe terī siitā ko pyaar aa.e

    ma.asūmiyat pe tujh ko maryam gale lagā.e

    hūreñ lapak ke chūmeñ, paa.eñ qadam jo tere

    har naqsh-e-pā pe tere sajde kareñ farishte

    ai kaash vo batā.e hai jis ye ḳhudā.ī

    ye chashm-e-nargisī hai kāsa-e-gadā.ī!

    lab haiñ ki pattharoñ ke TukḌe jame hue haiñ!

    ruḳh haiñ ki rahguzar ke bujhte hue diye haiñ!

    han ai gharib laDki tu bhik mangti hai

    chashm-e-sawal teri kuchh kah ke jhuk gai hai

    tu bhik mangti hai sharm-o-haya ki mari

    aur sar se le ke pa tak hai kapkapi si tari

    aankhon mein hai nami si aaina si jabin hai

    tujh ko gadagari ki aadat abhi nahin hai

    qismat mein gesuon ki aaina hai na shana

    shayad teri nazar mein tarik hai zamana

    ye tera jism-e-nazuk bosida pairahan mein

    jaise gul-e-fasurda ujDe hue chaman mein

    jhuk jaen tere aage shaitan ki nigahen

    par kha rahi hain tujh ko insan ki nigahen

    pakizgi pe teri sita ko pyar aae

    masumiyat pe tujh ko maryam gale lagae

    huren lapak ke chumen, paen qadam jo tere

    har naqsh-e-pa pe tere sajde karen farishte

    ai kash wo batae hai jis ki ye KHudai

    ye chashm-e-nargisi hai ya kasa-e-gadai!

    lab hain ki pattharon ke TukDe jame hue hain!

    ruKH hain ki rahguzar ke bujhte hue diye hain!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now