Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chup raho

Ain Rashid

chup raho

Ain Rashid

MORE BYAin Rashid

    be-talab vo de rahā hai chup raho

    kuchh kahā to baat ḳhālī jā.egī

    chup raho chup raho

    aañkh kholo chup chaap raho

    us suno

    yādoñ dāman pakḌo

    gun gun āvāz suno

    duur papīhā gaatā hai

    us suno

    chup chaap raho

    āhista āhista chalo

    gol ek patthar dekho

    laakh saal se chāñd sitāre

    jis ko dekh ke chalte haiñ

    us ko dekho

    kuchh na kaho

    phir vo patthar is muTThī meñ aa.egā

    phir tum ko sahlā.egā

    dhanak ke giit sunā.egā

    āñkheñ kholo

    dhīre chalo āhista chalo

    shabnam ke saare qatre

    ufuq ko ke chhū leñge

    dil meñ jugnū jagmag jagmag gā.eñge

    jaise muTThī khologe patthar uḌ kar

    ik taa.ir ban jā.egā

    chup raho chup-chāp raho

    āñkheñ khole

    muTThī jakḌe

    us suno

    kuchh kahā to baat ḳhālī jā.egī

    be-talab wo de raha hai chup raho

    kuchh kaha to baat KHali jaegi

    chup raho chup raho

    aankh kholo chup chap raho

    us ki suno

    yaadon ka daman pakDo

    gun gun ki aawaz suno

    dur papiha gata hai

    us ki suno

    chup chap raho

    aahista aahista chalo

    gol sa ek patthar dekho

    lakh sal se chand sitare

    jis ko dekh ke chalte hain

    us ko dekho

    kuchh na kaho

    phir wo patthar is muTThi mein aaega

    phir tum ko sahlaega

    dhanak ke git sunaega

    aankhen kholo

    dhire chalo aahista chalo

    shabnam ke sare qatre

    ufuq ko ja ke chhu lenge

    dil mein jugnu jagmag jagmag gaenge

    jaise hi muTThi khologe patthar uD kar

    ek tair ban jaega

    chup raho chup-chap raho

    aankhen khole

    muTThi jakDe

    us ki suno

    kuchh kaha to baat KHali jaegi

    Source:

    Aabnoosi Khayal (Pg. 77)

    • Author: Ain Rashid
      • Publisher: Begam Naseem Khan
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now