Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dehli ki sair

Alqama Shibli

dehli ki sair

Alqama Shibli

MORE BYAlqama Shibli

    aao bachcho sair karā.eñ

    bhārat dil tum ko dikhā.eñ

    bhārat dil kyā hai bolo

    duniyā dekho āñkheñ kholo

    har lab par hai jis fasāna

    dehlī hai vo shahr purānā

    shahar ki jis meñ 'mīr' ne gaa.e

    rañj-o-ḳhushī ke dilkash naġhme

    shahr ki jis meñ 'ġhālib' ne bhī

    chheḌīñ shīrīñ ġhazleñ apnī

    shahr ki jis meñ shaah 'zafar' ne

    ġhazleñ likkhīñ likkhe nauhe

    dehlī jo hai shahr purānā

    bachcho vo hai dil bhārat

    vo sambhlā to ham bhī sambhle

    vo bigḌā to ham bhī bigḌe

    shahr nahīñ tahzīb hai dehlī

    shān-e-vatan hai is se baaqī

    aao is ruup dikhā.eñ

    bachcho tum ko sair karā.eñ

    laal qil.a hai sāmne dekho

    muġhaloñ tārīḳh ko samjho

    maazī tasvīr hai is meñ

    ḳhvāboñ ta.abīr hai is meñ

    vaqt ik ā.īna samjho

    shām-o-sahar ruup bhī dekho

    akbar talvār yahāñ hai

    nūr-jahāñ haar yahāñ hai

    ālamgīr masjid dekho

    fan namūna us ko jaano

    duniyā meñ ik jannat hai ye

    apne vatan daulat hai ye

    laal qil.e se bāhar aao

    masjid hai ik sāmne dekho

    hai ye nishānī shāh-jahāñ

    dil sukūñ daulat hai yahāñ

    aao chaleñ ab birlā mandir

    bastī dekheñ prem kar

    ye hai dekho jantar-mantar

    dekh ke is ko aql hai shashdar

    chāho tum to vaqt batā.e

    grahan bhī ruup dikhā.e

    sadr aivāñ hai ye dekho

    ek gulistāñ hai ye dekho

    bāġh-e-muġhal hai is ke andar

    apnā guzar hai is se bāhar

    ye hai samādhī gāñdhī

    duur nahīñ hai shāñtī-van bhī

    rūh-e-chaman ḳhāmosh yahāñ hai

    ḳhāk-e-vatan gul-posh yahāñ hai

    bachcho chaleñ ab mehraulī bhī

    dekh aa.eñ ham laaT qutub

    us ke chāroñ aur khañDar haiñ

    pahle vaqtoñ ke ye nagar haiñ

    ambar is se apnī zamīñ hai

    ham ko bhī kam faḳhr nahīñ hai

    maanā dehlī dekh tum ne

    sair bhī kar kaafī tum ne

    mil lo khilaune se bhī chal kar

    sāmne hai vo us daftar

    bhaa.ī jo ilyās haiñ apne

    kar lo tum sab darshan un ke

    yuuñ to chīzeñ aur haiñ lekin

    dekhnā un kab hai mumkin

    bachcho tum to thak bhī ga.e ho

    vaqt bhī kam hai ab ghar lauTo

    aao bachcho sair karaen

    bhaarat ka dil tum ko dikhaen

    bhaarat ka dil kya hai bolo

    duniya dekho aankhen kholo

    har lab par hai jis ka fasana

    dehli hai wo shahr purana

    shahar ki jis mein 'mir' ne gae

    ranj-o-KHushi ke dilkash naghme

    shahr ki jis mein 'ghaalib' ne bhi

    chheDin shirin ghazlen apni

    shahr ki jis mein shah 'zafar' ne

    ghazlen likkhin likkhe nauhe

    dehli jo hai shahr purana

    bachcho wo hai dil bhaarat ka

    wo sambhla to hum bhi sambhle

    wo bigDa to hum bhi bigDe

    shahr nahin tahzib hai dehli

    shan-e-watan hai is se baqi

    aao is ka rup dikhaen

    bachcho tum ko sair karaen

    lal qila hai samne dekho

    mughalon ki tariKH ko samjho

    mazi ki taswir hai is mein

    KHwabon ki tabir hai is mein

    waqt ka ek aaina samjho

    sham-o-sahar ka rup bhi dekho

    akbar ki talwar yahan hai

    nur-jahan ka haar yahan hai

    aalamgir ki masjid dekho

    fan ka namuna us ko jaano

    duniya mein ek jannat hai ye

    apne watan ki daulat hai ye

    lal qile se bahar aao

    masjid hai ek samne dekho

    hai ye nishani shah-jahan ki

    dil ka sukun daulat hai yahan ki

    aao chalen ab birla mandir

    basti dekhen prem ki ja kar

    ye hai dekho jantar-mantar

    dekh ke is ko aql hai shashdar

    chaho tum to waqt batae

    grahan ka bhi rup dikhae

    sadr ka aiwan hai ye dekho

    ek gulistan hai ye dekho

    bagh-e-mughal hai is ke andar

    apna guzar hai is se bahar

    ye hai samadhi gandhi ji ki

    dur nahin hai shanti-wan bhi

    ruh-e-chaman KHamosh yahan hai

    KHak-e-watan gul-posh yahan hai

    bachcho chalen ab mehrauli bhi

    dekh aaen hum laT qutub ki

    us ke chaaron aur khanDar hain

    pahle waqton ke ye nagar hain

    ambar is se apni zamin hai

    hum ko bhi kam faKHr nahin hai

    mana dehli dekh li tum ne

    sair bhi kar li kafi tum ne

    mil lo khilaune se bhi chal kar

    samne hai wo us ka daftar

    bhai jo ilyas hain apne

    kar lo tum sab darshan un ke

    yun to chizen aur hain lekin

    dekhna un ka kab hai mumkin

    bachcho tum to thak bhi gae ho

    waqt bhi kam hai ab ghar lauTo

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now