Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dharm-o-iman

Ahmaq Phaphoondvi

dharm-o-iman

Ahmaq Phaphoondvi

MORE BYAhmaq Phaphoondvi

    bahut din se vatan meñ ik mahāz-e-jañg qaa.em hai

    kahīñ hai dharm ko ḳhatra kahīñ īmān ko ḳhatra

    bapā hai saḳht tūfāñ rūnumā haiñ saḳht hañgāme

    kahīñ hai ved ko ḳhatra kahīñ qur.ān ko ḳhatra

    kahīñ masjid ko ḳhatra hai shivāle ke mahantoñ se

    kahīñ hai ḳhānqah vāloñ se dev asthān ko ḳhatra

    kahīñ muslim ko ḳhatra apne īmānī tahaffuz

    kahīñ hindū ke pūjā-pāT ke sammān ko ḳhatra

    kahīñ shuddhī ke parchārak ko ḳhatra dharm rakshā

    kahīñ tablīġh ke jhanDe ān-bān ko ḳhatra

    nahīñ hotā koī aisā minute chaubīs ghanTe meñ

    na rahtā ho vatan vāloñ ke māl-o-jān ko ḳhatra

    ye saarī pesh-bañdī hai faqat is baat ḳhātir

    ki lāhaq ho na british raaj ke aivān ko ḳhatra

    ye Thekedār diin aur dharm ke is ke bhī zāmin haiñ

    na paidā ho mafād-e-ahal-e-inglistān ko ḳhatra

    ye ḳhāna-jañgiyāñ jitnī haiñ sab mudda.ā ye hai

    na hargiz rūnumā ho jaan bal jaan ko ḳhatra

    ġhulāmān-e-azal ya.anī ye jhūTe peshvā-e-dīñ

    lagā rahtā hai har dam jin ke dastar-ḳhvān ko ḳhatra

    vo kab chāheñge koī is tarah inqalāb aa.e

    ki ho mahsūs un ke amn-o-itmīnān ko ḳhatra

    hamārā farz hai ham un lafangoñ ko fanā kar deñ

    ki hai un sab ke sab se aam hindostān ko ḳhatra

    bahut din se watan mein ek mahaz-e-jang qaem hai

    kahin hai dharm ko KHatra kahin iman ko KHatra

    bapa hai saKHt tufan runuma hain saKHt hangame

    kahin hai wed ko KHatra kahin quran ko KHatra

    kahin masjid ko KHatra hai shiwale ke mahanton se

    kahin hai KHanqah walon se dew asthan ko KHatra

    kahin muslim ko KHatra apne imani tahaffuz ka

    kahin hindu ke puja-paT ke samman ko KHatra

    kahin shuddhi ke parchaarak ko KHatra dharm raksha ka

    kahin tabligh ke jhanDe ki aan-ban ko KHatra

    nahin hota koi aisa minute chaubis ghanTe mein

    na rahta ho watan walon ke mal-o-jaan ko KHatra

    ye sari pesh-bandi hai faqat is baat ki KHatir

    ki lahaq ho na british raj ke aiwan ko KHatra

    ye Thekedar din aur dharm ke is ke bhi zamin hain

    na paida ho mafad-e-ahal-e-inglistan ko KHatra

    ye KHana-jangiyan jitni hain sab ka muddaa ye hai

    na hargiz runuma ho jaan bal ki jaan ko KHatra

    ghulaman-e-azal yani ye jhuTe peshwa-e-din

    laga rahta hai har dam jin ke dastar-KHwan ko KHatra

    wo kab chahenge koi is tarah ka inqalab aae

    ki ho mahsus un ke amn-o-itminan ko KHatra

    hamara farz hai hum un lafangon ko fana kar den

    ki hai un sab ke sab se aam hindostan ko KHatra

    Source:

    (Pg. 116)

    • Author: Ahmaq Phaphoondvi
      • Publisher: Maktaba Burhan, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now