Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

didani

Mustafa Zaidi

didani

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    merī palkoñ ko mat dekho

    in uThnā in jhapaknā jism nā-mahsūs amal hai

    merī āñkhoñ ko mat dekho

    in oT meñ shām-e-ġharībāñ in aaḌ meñ dasht-e-azal hai

    mere chehre ko mat dekho

    is meñ koī vāda-e-fardā is meñ koī aaj na kal hai

    ab is dariyā tak mat aao jis lahreñ TuuT chukī haiñ

    is siine se lau na lagāo jis nabzeñ chhūT chukī haiñ

    ab mere qātil ko chāho

    merā qātil marham marham dariyā dariyā sāhil sāhil

    qāzi-e-shahr māthā chūmo

    jis ke qalam meñ zahr-e-halāhal jis ke suḳhan meñ lahn-e-halāhal

    ab us raqs dhun pe nācho

    jis giit pe luT gayā qaazī jis lai par bik gayā qātil

    meri palkon ko mat dekho

    in ka uThna in ka jhapakna jism ka na-mahsus amal hai

    meri aankhon ko mat dekho

    in ki oT mein sham-e-ghariban in ki aaD mein dasht-e-azal hai

    mere chehre ko mat dekho

    is mein koi wada-e-farda is mein koi aaj na kal hai

    ab is dariya tak mat aao jis ki lahren TuT chuki hain

    is sine se lau na lagao jis ki nabzen chhuT chuki hain

    ab mere qatil ko chaho

    mera qatil marham marham dariya dariya sahil sahil

    qazi-e-shahr ka matha chumo

    jis ke qalam mein zahr-e-halahal jis ke suKHan mein lahn-e-halahal

    ab us raqs ki dhun pe nacho

    jis ki git pe luT gaya qazi jis ki lai par bik gaya qatil

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now