Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwali

Qateel Shifai

diwali

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    dar-o-dīvār par chhā.ī hai udāsī ġham

    mahv-e-hairat hai ḳhushī dīda-e-hairāñ tarah

    koī jhoñkā koī aahaT koī āvāz nahīñ

    raat vīrāñ hai kisī shahr-e-ḳhamoshāñ tarah

    din Dhale dekh liyā thā koī uḌtā bādal

    kunmunātī hai fazā mausam-e-bārāñ tarah

    duur pardes rāhoñ meñ bhaTakte raahī

    dil meñ phir yaad tirī aa.ī hai mehmāñ tarah

    vo sar-e-shām dar-o-bām pe jalte dīpak

    kyā mirī tarah tujhe yaad nahīñ aate haiñ

    raushnī meñ vo nahā.e hue ujle manzar

    kyā nigāhoñ meñ tirī aaj bhī lahrāte haiñ

    kyā vo biite hue pur-nūr chahakte lamhe

    aaj bhī dil meñ tire giit koī gaate haiñ

    kyā tire ḳhvāb ġham-e-hāl ke vīrāne meñ

    ab bhī maazī fasāna koī dohrāte haiñ

    vo ujāle jo tirī tarah mujhe bhuul ga.e

    duur se ab mirī fariyād nahīñ sun sakte

    dil ke tāroñ ko bahut jam.a kiyā hai maiñ ne

    vo magar naġhma-e-ehsās nahīñ ban sakte

    mirī āvāz ko jazbāt dīvār ke paar

    sun to sakte haiñ magar sar ko nahīñ dhun sakte

    maiñ jo ro.uuñ bhī to ye vaqt ke andhe sāthī

    kisī bikhre hue motī ko nahīñ chun sakte

    dīp-mālā ye bechain bilaktī huī raat

    us ke dāman meñ mire ashk-e-ravāñ palte haiñ

    ham-safar koī nahīñ hai mirī tanhā.ī

    chand saa.e haiñ jo hamrāh mire chalte haiñ

    DabDabā.ī huī āñkhoñ meñ hai sāvan jhaḌī

    aur dil meñ mire yādoñ ke shajar palte haiñ

    dekh maiñ ne bhī manā.ī hai yahāñ dīvālī

    mirī palkoñ pe bhī ashkoñ ke diye julte haiñ

    dar-o-diwar par chhai hai udasi gham ki

    mahw-e-hairat hai KHushi dida-e-hairan ki tarah

    koi jhonka koi aahaT koi aawaz nahin

    raat viran hai kisi shahr-e-KHamoshan ki tarah

    din Dhale dekh liya tha koi uDta baadal

    kunmunati hai faza mausam-e-baran ki tarah

    dur pardes ki rahon mein bhaTakte rahi

    dil mein phir yaad teri aai hai mehman ki tarah

    wo sar-e-sham dar-o-baam pe jalte dipak

    kya meri tarah tujhe yaad nahin aate hain

    raushni mein wo nahae hue ujle manzar

    kya nigahon mein teri aaj bhi lahraate hain

    kya wo bite hue pur-nur chahakte lamhe

    aaj bhi dil mein tere git koi gate hain

    kya tere KHwab gham-e-haal ke virane mein

    ab bhi mazi ka fasana koi dohraate hain

    wo ujale jo teri tarah mujhe bhul gae

    dur se ab meri fariyaad nahin sun sakte

    dil ke taron ko bahut jama kiya hai main ne

    wo magar naghma-e-ehsas nahin ban sakte

    meri aawaz ko jazbaat ki diwar ke par

    sun to sakte hain magar sar ko nahin dhun sakte

    main jo roun bhi to ye waqt ke andhe sathi

    kisi bikhre hue moti ko nahin chun sakte

    dip-mala ki ye bechain bilakti hui raat

    us ke daman mein mere ashk-e-rawan palte hain

    ham-safar koi nahin hai meri tanhai ka

    chand sae hain jo hamrah mere chalte hain

    DabDabai hui aankhon mein hai sawan ki jhaDi

    aur dil mein mere yaadon ke shajar palte hain

    dekh main ne bhi manai hai yahan diwali

    meri palkon pe bhi ashkon ke diye julte hain

    Source:

    Kalam Qateel Shifai (Pg. 223)

    • Author: Qateel Shifai
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now