Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwali

MORE BYAaftab Rais Panipati

    raam ke hijr meñ ik roz bharat ne ye kahā

    qalb-e-muztar ko shab-o-roz nahīñ chain zarā

    dil meñ armāñ hai ki aa jaa.eñ vatan meñ raghubir

    yaad meñ un kaleje meñ chubhe haiñ nashtar

    koī bhaa.ī se kahe zaḳhm-e-jigar bhar deñ mirā

    ḳhāna-e-dil ko ziyārat se munavvar kar deñ

    raam aa.eñ to diye ghī ke jalā.ūñ ghar ghar

    dīp-mālā samāñ aaj dikhā.ūñ ghar ghar

    teġh-e-furqat se jigar paash huā jaatā hai

    dil ġham-e-rañj se pāmāl huā jaatā hai

    daaġh haiñ mere jale dil pe hazāroñ lākhoñ

    ġham ke nashtar jo chale dil pe hazāroñ lākhoñ

    kah rahe the ye bharat jabki sirī-rām aa.e

    dhuum duniyā meñ machī nuur ke bādal chhā.e

    arsh tak farsh se jai jai sadā jaatī thī

    ḳhurramī ashk har ik aañkh se barsātī thī

    jalva-e-ruḳh se huā raam ke aalam raushan

    pur umīdoñ ke guloñ se huā sab dāman

    mohnī shakl jo raghubir nazar aatī thī

    aañkh tāzīm se ḳhilqat jhukī jaatī thī

    muddatoñ ba.ad bharat ne ye nazāra dekhā

    kāmyābī ke falak par thā sitāra chamkā

    dil ḳhushī se kabhī pahlū meñ uchhal paḌtā thā

    ho mubārak ye kabhī muñh se nikal paḌtā thā

    hote raushan haiñ charāġh aaj jahāñ meñ yaksāñ

    gul huā aaj par ek charāġh-e-tābāñ

    hai murād us se vo bhārat charāġh-e-raushan

    naam hai jis dayānand jo thā faḳhr-e-vatan

    jis dayānand ne bhārat palaT qismat

    jis dayānand ne duniyā badal hālat

    jis dayānand ne gulzār banā.e jañgal

    jis dayānand ne qaumoñ meñ machā halchal

    aaj vo hind afsos dulārā na rahā

    ġham-nasīboñ ke liye koī sahārā na rahā

    yaad hai us zamāne meñ har ik jaarī

    us furqat lagī teġh jigar par kaarī

    dil ye kahtā hai ki is vaqt zabāneñ kholeñ

    aao mil mil ke dayānand ham jai boleñ

    ram ke hijr mein ek roz bharat ne ye kaha

    qalb-e-muztar ko shab-o-roz nahin chain zara

    dil mein arman hai ki aa jaen watan mein raghubir

    yaad mein un ki kaleje mein chubhe hain nashtar

    koi bhai se kahe zaKHm-e-jigar bhar den mera

    KHana-e-dil ko ziyarat se munawwar kar den

    ram aaen to diye ghi ke jalaun ghar ghar

    dip-mala ka saman aaj dikhaun ghar ghar

    tegh-e-furqat se jigar pash hua jata hai

    dil gham-e-ranj se pamal hua jata hai

    dagh hain mere jale dil pe hazaron lakhon

    gham ke nashtar jo chale dil pe hazaron lakhon

    kah rahe the ye bharat jabki siri-ram aae

    dhum duniya mein machi nur ke baadal chhae

    arsh tak farsh se jai jai ki sada jati thi

    KHurrami ashk har ek aankh se barsati thi

    jalwa-e-ruKH se hua ram ke aalam raushan

    pur umidon ke gulon se hua sab ka daman

    mohni shakl jo raghubir ki nazar aati thi

    aankh tazim se KHilqat ki jhuki jati thi

    muddaton baad bharat ne ye nazara dekha

    kaamyabi ke falak par tha sitara chamka

    dil KHushi se kabhi pahlu mein uchhal paDta tha

    ho mubarak ye kabhi munh se nikal paDta tha

    hote raushan hain charagh aaj jahan mein yaksan

    gul hua aaj hi par ek charagh-e-taban

    hai murad us se wo bhaarat ka charagh-e-raushan

    nam hai jis ka dayanand jo tha faKHr-e-watan

    jis dayanand ne bhaarat ki palaT di qismat

    jis dayanand ne duniya ki badal di haalat

    jis dayanand ne gulzar banae jangal

    jis dayanand ne qaumon mein macha di halchal

    aaj wo hind ka afsos dulara na raha

    gham-nasibon ke liye koi sahaara na raha

    yaad hai us ki zamane mein har ek su jari

    us ki furqat ki lagi tegh jigar par kari

    dil ye kahta hai ki is waqt zabanen kholen

    aao mil mil ke dayanand ki hum jai bolen

    Source:

    aaftab-e-watan (Pg. E-62 B-61)

    • Author: Aaftab Rais Panipati
      • Edition: 1931
      • Year of Publication: 1931
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now