aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya kaise mujhko bhae

Abdul Majeed Bhatti

duniya kaise mujhko bhae

Abdul Majeed Bhatti

MORE BYAbdul Majeed Bhatti

    tan sukh ik sāgar chāhe

    jis meñ ḳhuub nahā.e

    man hai ye chanchal aashā

    jo chāhe so paa.e

    duniyā chain nagar ban jaa.e

    tan bechain hai

    man be-qābū

    kaun unheñ samjhā.e

    daas ġhulām aashā kaisī

    janam janam mar jaa.e

    man baat meñ kah nahīñ saktā

    man-marzī se rah nahīñ saktā

    kuchh nahīñ mere bas meñ

    bas ghul ga.ī jīvan ras meñ

    duniyā

    kaise mujh ko bhaa.e

    tan sukh ka ek sagar chahe

    jis mein KHub nahae

    man ki hai ye chanchal aasha

    jo chahe so pae

    duniya chain nagar ban jae

    tan bechain hai

    man be-qabu

    kaun unhen samjhae

    das ghulam ki aasha kaisi

    janam janam mar jae

    man ki baat mein kah nahin sakta

    man-marzi se rah nahin sakta

    kuchh nahin mere bas mein

    bas ghul gai jiwan ras mein

    duniya

    kaise mujh ko bhae

    Source:

    Naam-o-Nang (Pg. 33)

    • Author: Abdul Majeed Bhatti
      • Edition: 1946
      • Publisher: Sangam Publishers Limited, Lahore
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now