Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-nang-o-nam

Shaz Tamkanat

be-nang-o-nam

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    raat Dhalte ik āvāz chalī aatī hai

    bhuul bhī jaao ki maiñ ne tumheñ chāhā kab thā

    kis sanobar ke tale maiñ ne qasam khaa.ī thī

    koī tūfāñ kisī pūnam meñ uThāyā kab thā

    merī rātoñ ko kisī dard se nisbat kyā thī

    merī sub.hoñ ko duāoñ se ilāqa kab thā

    ek mahmil ke sirhāne koī royā thā zarūr

    pas-e-mahfil kisī lailā ne pukārā kab thā

    tum yūñhī zid meñ hue ḳhāk-e-dar-e-mai-ḳhāna

    mujh ko ye zom ki maiñ ne tumheñ Tokā kab thā

    tum ne kyuuñ pāka.i-e-dāmāñ hikāyat likkhī

    mere sar ko kisī dīvār saudā kab thā

    yaad kam kam hai na chheḌo mire maktūb baat

    vo muravvat thī faqat harf-e-tamannā kab thā

    dil na is tarah dukhā saaf mukarne vaale

    mujh ko taslīm ki terī koī taqsīr na thī

    ye bajā hai ki tujhe zauq-e-nasheman na milā

    ye ġhalat hai ki mujhe hasrat-e-tāmīr na thī

    sañg-bārī meñ ye shīshe makāñ kis hai

    is dar-o-bām meñ ḳhushbu-e-vafā kaisī hai

    kis āvāz se dīvāroñ ke siine meñ figār

    mere mābūd mire ghar fazā kaisī hai

    chhāñv dete nahīñ āñgan ke ghanere ashjār

    ġham chhā.ī huī ghanghor ghaTā kaisī hai

    ek koñpal pe thā añgusht-e-hinā.ī nishāñ

    ye lahū rotī huī shāḳh-e-hinā kaisī hai

    kis tasvīr hai ye jis pe gumāñ hotā hai

    jaane kab bol uThe uf ye adā kaisī hai

    kis ne takiya pe ye kāḌhā hai gire misrā

    haa.e TuuTī huī nīndoñ sazā kaisī hai

    soch meñ gum huuñ ki kis kis zabāñ band karūñ

    aaj shāyad dar o dīvār ko Dhānā hogā

    jis meñ hai tire vaade haiñ tirī qasmeñ haiñ

    kyā sitam hai ki usī ghar ko jalānā hogā

    raat Dhalte hi ek aawaz chali aati hai

    bhul bhi jao ki main ne tumhein chaha kab tha

    kis sanobar ke tale main ne qasam khai thi

    koi tufan kisi punam mein uThaya kab tha

    meri raaton ko kisi dard se nisbat kya thi

    meri subhon ko duaon se ilaqa kab tha

    ek mahmil ke sirhane koi roya tha zarur

    pas-e-mahfil kisi laila ne pukara kab tha

    tum yunhi zid mein hue KHak-e-dar-e-mai-KHana

    mujh ko ye zom ki main ne tumhein Toka kab tha

    tum ne kyun pakai-e-daman ki hikayat likkhi

    mere sar ko kisi diwar ka sauda kab tha

    yaad kam kam hai na chheDo mere maktub ki baat

    wo murawwat thi faqat harf-e-tamanna kab tha

    dil na is tarah dukha saf mukarne wale

    mujh ko taslim ki teri koi taqsir na thi

    ye baja hai ki tujhe zauq-e-nasheman na mila

    ye ghalat hai ki mujhe hasrat-e-tamir na thi

    sang-bari mein ye shishe ka makan kis ka hai

    is dar-o-baam mein KHushbu-e-wafa kaisi hai

    kis ki aawaz se diwaron ke sine mein figar

    mere mabud mere ghar ki faza kaisi hai

    chhanw dete nahin aangan ke ghanere ashjar

    gham ki chhai hui ghanghor ghaTa kaisi hai

    ek konpal pe tha angusht-e-hinai ka nishan

    ye lahu roti hui shaKH-e-hina kaisi hai

    kis ki taswir hai ye jis pe guman hota hai

    jaane kab bol uThe uf ye ada kaisi hai

    kis ne takiya pe ye kaDha hai gire ka misra

    hae TuTi hui nindon ki saza kaisi hai

    soch mein gum hun ki kis kis ki zaban band karun

    aaj shayad dar o diwar ko Dhana hoga

    jis mein tu hai tere wade hain teri qasmen hain

    kya sitam hai ki usi ghar ko jalana hoga

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Be-rang o naam - Shaz tamkanat Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now