Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mata-e-ghair

Sahir Ludhianvi

mata-e-ghair

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    mere ḳhvāboñ ke jharokoñ ko sajāne vaalī

    tere ḳhvāboñ meñ kahīñ merā guzar hai ki nahīñ

    pūchh kar apnī nigāhoñ se batā de mujh ko

    merī rātoñ ke muqaddar meñ sahar hai ki nahīñ

    chaar din ye rifāqat jo rifāqat bhī nahīñ

    umr bhar ke liye āzār huī jaatī hai

    zindagī yuuñ to hamesha se pareshān thī

    ab to har saañs girāñ-bār huī jaatī hai

    merī ujḌī huī nīndoñ ke shabistānoñ meñ

    kisī ḳhvāb ke paikar tarah aa.ī hai

    kabhī apnī kabhī ġhair nazar aa.ī hai

    kabhī iḳhlās mūrat kabhī harjā.ī hai

    pyaar par bas to nahīñ hai mirā lekin phir bhī

    batā de ki tujhe pyaar karūñ na karūñ

    ne ḳhud apne tabassum se jagāyā hai jinheñ

    un tamannāoñ iz.hār karūñ na karūñ

    kisī aur ke dāman kalī hai lekin

    merī rāteñ tirī ḳhushbū se basī rahtī haiñ

    kahīñ bhī ho tire phuul se aariz qasam

    terī palkeñ mirī āñkhoñ pe jhukī rahtī haiñ

    tere hāthoñ harārat tire sāñsoñ mahak

    tairtī rahtī hai ehsās pahnā.ī meñ

    DhūñDtī rahtī haiñ taḳh.īl bāñheñ tujh ko

    sard rātoñ sulagtī huī tanhā.ī meñ

    terā altāf-o-karam ek haqīqat hai magar

    ye haqīqat bhī haqīqat meñ fasāna na ho

    terī mānūs nigāhoñ ye mohtāt payām

    dil ke ḳhuuñ karne ek aur bahāna na ho

    kaun jaane mire imroz fardā kyā hai

    qurbateñ baḌh ke pashemān bhī ho jaatī haiñ

    dil ke dāman se lipaTtī huī rañgīñ nazreñ

    dekhte dekhte anjān bhī ho jaatī haiñ

    merī darmāñda javānī tamannāoñ ke

    muzmahil ḳhvāb tābīr batā de mujh ko

    tere dāman meñ gulistāñ bhī haiñ vīrāne bhī

    merā hāsil merī taqdīr batā de mujh ko

    mere KHwabon ke jharokon ko sajaane wali

    tere KHwabon mein kahin mera guzar hai ki nahin

    puchh kar apni nigahon se bata de mujh ko

    meri raaton ke muqaddar mein sahar hai ki nahin

    chaar din ki ye rifaqat jo rifaqat bhi nahin

    umr bhar ke liye aazar hui jati hai

    zindagi yun to hamesha se pareshan si thi

    ab to har sans giran-bar hui jati hai

    meri ujDi hui nindon ke shabistanon mein

    tu kisi KHwab ke paikar ki tarah aai hai

    kabhi apni si kabhi ghair nazar aai hai

    kabhi iKHlas ki murat kabhi harjai hai

    pyar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi

    tu bata de ki tujhe pyar karun ya na karun

    tu ne KHud apne tabassum se jagaya hai jinhen

    un tamannaon ka izhaar karun ya na karun

    tu kisi aur ke daman ki kali hai lekin

    meri raaten teri KHushbu se basi rahti hain

    tu kahin bhi ho tere phul se aariz ki qasam

    teri palken meri aankhon pe jhuki rahti hain

    tere hathon ki hararat tere sanson ki mahak

    tairti rahti hai ehsas ki pahnai mein

    DhunDti rahti hain taKHil ki banhen tujh ko

    sard raaton ki sulagti hui tanhai mein

    tera altaf-o-karam ek haqiqat hai magar

    ye haqiqat bhi haqiqat mein fasana hi na ho

    teri manus nigahon ka ye mohtat payam

    dil ke KHun karne ka ek aur bahana hi na ho

    kaun jaane mere imroz ka farda kya hai

    qurbaten baDh ke pasheman bhi ho jati hain

    dil ke daman se lipaTti hui rangin nazren

    dekhte dekhte anjaan bhi ho jati hain

    meri darmanda jawani ki tamannaon ke

    muzmahil KHwab ki tabir bata de mujh ko

    tere daman mein gulistan bhi hain virane bhi

    mera hasil meri taqdir bata de mujh ko

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Urdu Studio

    Urdu Studio

    RECITATIONS

    Hamida Bano

    Hamida Bano,

    Hamida Bano

    mata-e-ghair Hamida Bano

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now