ek din billi ne chuhe se kaha
ek din billī ne chūhe se kahā
tujh ko ḳhālā jaan se hai kyā gila
tū kabhī bhī mere ghar aatā nahīñ
apnī pyārī shakl dikhlātā nahīñ
tujh ko kuchh apnī sehat kā hai ḳhayāl
dekh to kyā ho gayā hai terā haal
uḌ rahī hai yuuñ tire chehre pe ḳhaak
dekh kar tujh ko jigar hotā hai chaak
pyaar tujh se kis qadar kartī huuñ maiñ
aah furqat meñ tirī bhartī huuñ maiñ
par nahīñ hai tujh ko kuchh merā ḳhayāl
tū mirī har baat ko jaatā hai Taal
merī chāhat kā agar kar ehtirām
kar mire ghar meñ hī tū aa kar qiyām
jāntā hai tū maiñ be-aulād huuñ
bas isī ik fikr se nāshād huuñ
tū agar aa kar rahegā mere ghar
kuchh to rāhat pā.egā merā jigar
peT meñ achchhī ġhizā jab jā.egī
tab tire chehre pe surḳhī aa.egī
baat billī kī sunī chūhe ne jab
khol kar goyā huā vo apne lab
pyārī ḳhāla jaan tū ne sach kahā
ye mohabbat kī hai tere intihā
ye tirā itnā hasīñ andāz hai
mujh ko is chāhat pe terī naaz hai
sochtā huuñ maiñ bhī tere ghar rahūñ
maiñ tirā laḳht-e-jigar ban kar rahūñ
terī qurbat meñ mirā hogā bhalā
lutf degā pyaar kā ye silsila
par isī ik vahm se majbūr huuñ
aaj tak maiñ ghar se tere duur huuñ
baat ye kahtā huuñ maiñ īmān se
mujh ko Dar lagtā hai ḳhālū jaan se
ek din billi ne chuhe se kaha
tujh ko KHala jaan se hai kya gila
tu kabhi bhi mere ghar aata nahin
apni pyari shakl dikhlata nahin
tujh ko kuchh apni sehat ka hai KHayal
dekh to kya ho gaya hai tera haal
uD rahi hai yun tere chehre pe KHak
dekh kar tujh ko jigar hota hai chaak
pyar tujh se kis qadar karti hun main
aah furqat mein teri bharti hun main
par nahin hai tujh ko kuchh mera KHayal
tu meri har baat ko jata hai Tal
meri chahat ka agar kar ehtiram
kar mere ghar mein hi tu aa kar qiyam
jaanta hai tu main be-aulad hun
bas isi ek fikr se nashad hun
tu agar aa kar rahega mere ghar
kuchh to rahat paega mera jigar
peT mein achchhi ghiza jab jaegi
tab tere chehre pe surKHi aaegi
baat billi ki suni chuhe ne jab
khol kar goya hua wo apne lab
pyari KHala jaan tu ne sach kaha
ye mohabbat ki hai tere intiha
ye tera itna hasin andaz hai
mujh ko is chahat pe teri naz hai
sochta hun main bhi tere ghar rahun
main tera laKHt-e-jigar ban kar rahun
teri qurbat mein mera hoga bhala
lutf dega pyar ka ye silsila
par isi ek wahm se majbur hun
aaj tak main ghar se tere dur hun
baat ye kahta hun main iman se
mujh ko Dar lagta hai KHalu jaan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.