Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek mahbus nazm

Anjum Saleemi

ek mahbus nazm

Anjum Saleemi

MORE BYAnjum Saleemi

    darvāza piiTā rahā hai

    mere jism par zaḳhm aur niil, hare hote rahe haiñ

    mujhe yaad aayā

    gandī gāliyāñ aur maile būToñ bhārī eḌiyāñ

    mere āsāb aur jism ko shal kar rahī thiiñ

    kandhoñ kūlhoñ aur rānoñ par

    bad-bū-dār dāñtoñ ke nishān

    dahaktī salāḳhoñ se miTāne koshish bhī ga.ī

    maiñ ūñchī khiḌkī se chhalāñg lagā saktā thaa!

    magar saada kāġhaz par dastaḳhat ke baġhair

    mujhe is suhulat ijāzat bhī nahīñ ga.ī

    vo sab mere zinda hāthoñ se ziyādā

    merī murda āñkhoñ se ḳhauf-zada the shāyad

    maiñ ne unheñ batā diyā thā

    ki maiñ sirf be-maqsad zindagī

    aur be vaq.at maut se Dartā huuñ

    maiñ ne kahā

    zaḳhmī dāñtoñ ke saath mujh se hañsā nahīñ jaatā

    laao kāġhaz idhar laao

    maiñ us par ek zor-dār qahqaha likh kar dastaḳhat kar duuñ

    mujhe yaad hai

    vo thak haar ke behosh hone chale ga.e the

    gandī gāliyoñ aur būToñ

    bhārī eḌiyoñ ke saath

    darvāza phir piiTā rahā hai!

    darwaza piTa ja raha hai

    mere jism par zaKHm aur nil, hare hote ja rahe hain

    mujhe yaad aaya

    gandi galiyan aur maile buTon ki bhaari eDiyan

    mere aasab aur jism ko shal kar rahi thin

    kandhon kulhon aur ranon par

    bad-bu-dar danton ke nishan

    dahakti salaKHon se miTane ki koshish bhi ki gai

    main unchi khiDki se chhalang laga sakta tha!

    magar sada kaghaz par dastaKHat ke baghair

    mujhe is suhulat ki ijazat bhi nahin di gai

    wo sab mere zinda hathon se ziyaada

    meri murda aankhon se KHauf-zada the shayad

    main ne unhen bata diya tha

    ki main sirf be-maqsad zindagi

    aur be waqat maut se Darta hun

    main ne kaha

    zaKHmi danton ke sath mujh se hansa nahin jata

    lao kaghaz idhar lao

    main us par ek zor-dar qahqaha likh kar dastaKHat kar dun

    mujhe yaad hai

    wo thak haar ke behosh hone chale gae the

    gandi galiyon aur buTon ki

    bhaari eDiyon ke sath

    darwaza phir piTa ja raha hai!

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ek mahbus nazm Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now