Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek manzar

Adil Mansuri

ek manzar

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    pul ke us sire se aatī huī

    añgusht chehre vaalī bad-sūrat aurat ke

    laTke hue pistānoñ par

    bhinbhinātī makkhiyoñ marī huī āñkhoñ meñ

    sūkhī nadī ke adh-mue meñDakoñ sarsarāhaT

    lañgḌe bhikārī pasliyoñ ke darmiyān

    hāñptī ikāniyoñ

    kashkolī khāñsī mailī shiknoñ meñ

    reñgte bichchhūoñ ke saa.e

    basoñ Taxiyoñ aur rickshawāoñ ke phisalte pahiyoñ tale

    dauḌtī saḌkoñ riiḌh haDDiyoñ meñ

    bikhartī huī tīrgī khurdurā lams

    merī khiḌkī

    chaukor udāsī ke piile dāñtoñ par

    jamī huī pīḌhiyoñ ko khurachne

    ek aur nākām koshish

    siyāhiyoñ meñ gum ho jaate haiñ

    pul ke us sire se aati hui

    angusht chehre wali bad-surat aurat ke

    laTke hue pistanon par

    bhinbhinati makkhiyon ki mari hui aankhon mein

    sukhi nadi ke adh-mue meinDakon ki sarsarahaT

    langDe bhikari ki pasliyon ke darmiyan

    hanpti ikaniyon ki

    kashkoli khansi ki maili shiknon mein

    rengte bichchhuon ke sae

    bason Taxiyon aur rickshawaon ke phisalte pahiyon tale

    dauDti saDkon ki riDh ki haDDiyon mein

    bikharti hui tirgi ka khurdura lams

    meri khiDki ki

    chaukor udasi ke pile danton par

    jami hui piDhiyon ko khurachne ki

    ek aur nakaam koshish ki

    siyahiyon mein gum ho jate hain

    Source:

    Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 162)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now