Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nazm kahin se bhi shurua ho sakti hai

Sarvat Husain

ek nazm kahin se bhi shurua ho sakti hai

Sarvat Husain

MORE BYSarvat Husain

    ek nazm kahīñ se bhī shurūa ho saktī hai

    jūtoñ joḌī se

    qabr se jo bārish meñ baiTh ga.ī

    us phuul se jo qabr pā.īnī par khilā

    har ek ko kahīñ na kahīñ panāh mil ga.ī

    chīñtiyoñ ko jā-e-namāz ke nīche

    aur laḌkiyoñ ko mirī āvāz meñ

    murda bail khopaḌī meñ gilahrī ne ghar banā liyā hai

    nazm bhī ek ghar hogā

    kisī jilā-vatan dil intizār kartī huī āñkheñ

    ek pahiya hai jo banāne vaale se adhūrā rah gayā hai

    ise ek nazm mukammal kar saktī hai

    ek gūñjtā huā āsmān nazm ke liye kaafī hotā hai

    lekin ye ek nāshta-dān meñ bā-āsānī samā saktī hai

    phuul aañsū aur ghanTiyāñ is meñ piroī saktī haiñ

    ise andhere meñ gaayā saktā hai

    tyauhāroñ dhuup meñ sukhāyā saktā hai

    tum ise dekh saktī ho

    ḳhālī bartanoñ ḳhālī qabzoñ aur ḳhālī gahvāroñ meñ

    tum ise sun saktī ho

    hāth-gāḌiyoñ aur janāzoñ ke saath chalte hue

    tum ise chuum saktī ho

    bandar-gāhoñ bhiiḌ meñ

    tum ise gūñdh saktī ho

    patthar maañd meñ

    tum ise ugā saktī ho

    podīne kiyāriyoñ meñ

    ek nazm

    kisī bhī raat se tārīk nahīñ saktī

    kisī talvār se kaaTī nahīñ saktī

    kisī dīvār meñ qaid nahīñ saktī

    ek nazm

    kahīñ bhī saath chhoḌ saktī hai

    bādal tarah

    havā tarah

    rāste tarah

    baap ke haath tarah

    ek nazm kahin se bhi shurua ho sakti hai

    juton ki joDi se

    ya qabr se jo barish mein baiTh gai

    ya us phul se jo qabr ki paini par khila

    har ek ko kahin na kahin panah mil gai

    chintiyon ko ja-e-namaz ke niche

    aur laDkiyon ko meri aawaz mein

    murda bail ki khopaDi mein gilahri ne ghar bana liya hai

    nazm ka bhi ek ghar hoga

    kisi jila-watan ka dil ya intizar karti hui aankhen

    ek pahiya hai jo banane wale se adhura rah gaya hai

    ise ek nazm mukammal kar sakti hai

    ek gunjta hua aasman nazm ke liye kafi hota hai

    lekin ye ek nashta-dan mein ba-asani sama sakti hai

    phul aansu aur ghanTiyan is mein piroi ja sakti hain

    ise andhere mein gaya ja sakta hai

    tyauhaaron ki dhup mein sukhaya ja sakta hai

    tum ise dekh sakti ho

    KHali bartanon KHali qabzon aur KHali gahwaron mein

    tum ise sun sakti ho

    hath-gaDiyon aur janazon ke sath chalte hue

    tum ise chum sakti ho

    bandar-gahon ki bhiD mein

    tum ise gundh sakti ho

    patthar ki mand mein

    tum ise uga sakti ho

    podine ki kiyariyon mein

    ek nazm

    kisi bhi raat se tarik nahin ki ja sakti

    kisi talwar se kaTi nahin ja sakti

    kisi diwar mein qaid nahin ki ja sakti

    ek nazm

    kahin bhi sath chhoD sakti hai

    baadal ki tarah

    hawa ki tarah

    raste ki tarah

    bap ke hath ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now