Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shaera ki shadi par

Akhtar Shirani

ek shaera ki shadi par

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    Interesting Fact

    One who claimed she has,'come to the world only to lead the life of a poet'

    ai ki thā uns tujhe ishq ke afsānoñ se

    zindagānī tirī ābād thī rūmānoñ se

    sher god meñ paltī thī javānī terī

    tere sheroñ se ubaltī thī javānī terī

    rashk-e-firdaus thā har husn bharā ḳhvāb tirā

    ek pāmāl khilaunā thā ye mahtāb tirā

    nik.hat-e-sher se mahkī huī rahtī thī sadā

    nashshā-e-fikr meñ bahkī huī rahtī thī sadā

    shirkat-e-ġhair se begāna the naġhme tere

    ismat-e-hūr afsāna the naġhme tere

    sher ḳhalvat-e-rañgīñ thī parī-ḳhāna tirā

    mast ḳhvāboñ ke jazīroñ meñ thā kāshāna tirā

    ġhā.eb-az-chashm thī jannat bahāroñ tarah

    dast-e-insāñ se thī mahfūz sitāroñ tarah

    sohbat-e-ġhair se ghabrātī thī tanhā.ī tirī

    ā.īñe se bhī to sharmātī thī tanhā.ī tirī

    sub.h tarah se doshīza thī hastī terī

    bū-e-gul tarah pākīza thī hastī terī

    naġhma-o-sher ke firdaus meñ rahtī thī

    yaksar ilhām o tarannum thā jo kahtī thī

    tere ash.ār the jannat bahāroñ ke hujūm

    tere afkār the zarrīn sitāroñ ke hujūm

    dard-e-sherī ke ta.assur se to maġhmūm thī

    āsmāñ magar ik ġhuncha-e-ma.asūm thī

    mauj-e-kausar chhalaktā huā paimāna thī

    ġhair hoñToñ ke tasavvur se bhī begāna thī

    ab gavārā huī kyuuñ ġhair sohbat tujh ko

    kyuuñ pasand aa ga.ī nā-jins shirkat tujh ko

    auj-e-taqdīs ko pastī adā bhā ga.ī kyuuñ

    terī tanhā.ī jannat pe ḳhizāñ chhā ga.ī kyuuñ

    sher o rūmān ke vo ḳhvāb kahāñ haiñ tere

    vo nuqūsh-e-gul-o-mahtāb kahāñ haiñ tere

    kaun turfa adā bhā ga.ī is duniyā meñ

    ḳhuld ko chhoḌ ke kyuuñ aa ga.ī is duniyā meñ

    ho ga.ī aam nūr-e-mah-e-tābāñ tarah

    aah kyuuñ jal na bujhī sham-e-shabistāñ tarah

    apnī doshīza bahāroñ ko na khonā thā kabhī

    vo kalī thī jise phuul na honā thā kabhī

    iffateñ miT ke javānī ko miTā jaatī haiñ

    phuul kumhlāte haiñ kaliyāñ kahīñ kumhlātī haiñ

    bulbul-e-mast-navā dasht meñ kyuuñ rahne lagī

    naġhma-e-tar jagah marsiya kyuuñ kahne lagī

    havas-ālūda huī paak javānī terī

    ġhair raat hai ab aur kahānī terī

    kis ko ma.alūm thā is qadar arzāñ hogī

    zīnat-e-mahfil o pāmāl-e-shabistāñ hogī

    jazb-e-iffat mayassar thā jo irfāñ tujh ko

    kyuuñ na marġhūb huā sheva-e-jānāñ tujh ko

    tīrgī hirs hūroñ ko bhī bahkā ga.ī

    tere bistar pe bhī āḳhir ko shikan aa ga.ī

    ab nahīñ tujh meñ vo hūroñ iffat baaqī

    huur thī tujh meñ, ga.ii, rah ga.ī aurat baaqī

    haañ vo aurat jise bachchoñ fasāna kahiye

    barbat-e-nafs ik fuhsh tarāna kahiye

    jis meñ hai zahr ufūnat vo paimāna kaheñ

    ik gunāhoñ bhabhaktā huā mai-ḳhāna kaheñ

    nauha-ḳhvāñ apnī javāñ maut hone de mujhe

    muskurā magar is haal pe rone de mujhe

    ai ki tha uns tujhe ishq ke afsanon se

    zindagani teri aabaad thi rumanon se

    sher ki god mein palti thi jawani teri

    tere sheron se ubalti thi jawani teri

    rashk-e-firdaus tha har husn bhara KHwab tera

    ek pamal khilauna tha ye mahtab tera

    nikhat-e-sher se mahki hui rahti thi sada

    nashsha-e-fikr mein bahki hui rahti thi sada

    shirkat-e-ghair se begana the naghme tere

    ismat-e-hur ka afsana the naghme tere

    sher ki KHalwat-e-rangin thi pari-KHana tera

    mast KHwabon ke jaziron mein tha kashana tera

    ghaeb-az-chashm thi jannat ki bahaaron ki tarah

    dast-e-insan se thi mahfuz sitaron ki tarah

    sohbat-e-ghair se ghabraati thi tanhai teri

    aaine se bhi to sharmati thi tanhai teri

    subh ki tarah se doshiza thi hasti teri

    bu-e-gul ki tarah pakiza thi hasti teri

    naghma-o-sher ke firdaus mein tu rahti thi

    yaksar ilham o tarannum tha jo tu kahti thi

    tere ashaar the jannat ki bahaaron ke hujum

    tere afkar the zarrin sitaron ke hujum

    dard-e-sheri ke tassur se to maghmum thi tu

    aasman ka magar ek ghuncha-e-masum thi tu

    mauj-e-kausar ka chhalakta hua paimana thi

    ghair honTon ke tasawwur se bhi begana thi

    ab gawara hui kyun ghair ki sohbat tujh ko

    kyun pasand aa gai na-jins ki shirkat tujh ko

    auj-e-taqdis ko pasti ki ada bha gai kyun

    teri tanhai ki jannat pe KHizan chha gai kyun

    sher o ruman ke wo KHwab kahan hain tere

    wo nuqush-e-gul-o-mahtab kahan hain tere

    kaun si turfa ada bha gai is duniya mein

    KHuld ko chhoD ke kyun aa gai is duniya mein

    ho gai aam tu nur-e-mah-e-taban ki tarah

    aah kyun jal na bujhi sham-e-shabistan ki tarah

    apni doshiza bahaaron ko na khona tha kabhi

    wo kali thi tu jise phul na hona tha kabhi

    iffaten miT ke jawani ko miTa jati hain

    phul kumhlate hain kaliyan kahin kumhlati hain

    bulbul-e-mast-nawa dasht mein kyun rahne lagi

    naghma-e-tar ki jagah marsiya kyun kahne lagi

    hawas-aluda hui pak jawani teri

    ghair ki raat hai ab aur kahani teri

    kis ko malum tha tu is qadar arzan hogi

    zinat-e-mahfil o pamal-e-shabistan hogi

    jazb-e-iffat ka mayassar tha jo irfan tujh ko

    kyun na marghub hua shewa-e-jaanan tujh ko

    tirgi hirs ki huron ko bhi bahka hi gai

    tere bistar pe bhi aaKHir ko shikan aa hi gai

    ab nahin tujh mein wo huron ki si iffat baqi

    hur thi tujh mein, gai, rah gai aurat baqi

    han wo aurat jise bachchon ka fasana kahiye

    barbat-e-nafs ka ek fuhsh tarana kahiye

    jis mein hai zahr ufunat ka wo paimana kahen

    ek gunahon ka bhabhakta hua mai-KHana kahen

    nauha-KHwan apni jawan maut ka hone de mujhe

    muskura tu magar is haal pe rone de mujhe

    Source:

    kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 105)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now