Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek tazad

Meeraji

ek tazad

Meeraji

MORE BYMeeraji

    koh se zarrīñ aziyyat ke guzar jaane ke ba.ad

    surḳh naġhma shaam ik pal meñ mar jaane ke ba.ad

    haañ pas-az-fariyād-o-qalb-e-dahr larzish ke ba.ad

    din tum ālūd-zard-o-lāla-gūñ kāvish ke ba.ad

    tīrgī ke dāġh-e-dil se kis tarah dho.uñgā maiñ

    jāgte jāgte phir sub.h tak ro.uñgā maiñ

    haañ vahī maiñ din ko jis aañkh thī aur āftāb

    haañ vahī maiñ jis ne dekhā dahr labrez-e-hayāt

    zehan-e-insānī mirā kahtā hai khā kar pech-o-tāb

    dekh le husn-e-manāzir ko nahīñ hāsil sabāt

    qalb maiḳhāne hā-o-hū aadī hai mirā

    kuchh ta.alluq nahīñ mujh ko sukūn-e-sañg se

    mujh ko ḳhush aatī nahīñ hai amn shab-gūñ fazā

    ruuh ko taskīñ milegī ek paiham jañg se

    koh se zarrin aziyyat ke guzar jaane ke baad

    surKH naghma sham ka ek pal mein mar jaane ke baad

    han pas-az-fariyaad-o-qalb-e-dahr ki larzish ke baad

    din ki tum aalud-zard-o-lala-gun kawish ke baad

    tirgi ke dagh-e-dil se kis tarah dhounga main

    jagte hi jagte phir subh tak rounga main

    han wahi main din ko jis ki aankh thi aur aaftab

    han wahi main jis ne dekha dahr labrez-e-hayat

    zehan-e-insani mera kahta hai kha kar pech-o-tab

    dekh le husn-e-manazir ko nahin hasil sabaat

    qalb maiKHane ki ha-o-hu ka aadi hai mera

    kuchh talluq hi nahin mujh ko sukun-e-sang se

    mujh ko KHush aati nahin hai amn ki shab-gun faza

    ruh ko taskin milegi ek paiham jang se

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 10)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now