Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

email

Abdul Qadir

email

Abdul Qadir

MORE BYAbdul Qadir

    yuuñ email se aa jaate haiñ saada se ḳhutūt

    sādgī itnī ki ḳhushbū na ve rañg liye

    haañ vahī rañg jo tere lab-o-ruḳhsār hai

    ab to kāġhaz pe koī naqsh ubhartā nahīñ

    haañ vahī naqsh tere mehñdī lage hāthoñ

    ab kisī harf se aatī nahīñ ḳhushbū terī

    kaise alfāz haiñ ye jo terī sāñsoñ mahak

    bin sameTe hue chup-chāp chale aate haiñ

    itnī chup-chāp ki aahaT bhī nahīñ mil paatī

    kam se kam dekhiye āvāz diyā kartā thā

    aur ab ham yahāñ logoñ kiyā karte haiñ

    ḳhat ke pahlū meñ ab aatā nahīñ zulf baal

    ab to mahsūs nahīñ hotī zabān-e-taslīm

    ab to scrēn pe ādāb liyā karte haiñ

    ab faqat DhūñDh ke rah jaate haiñ sūrat terī

    ab to bas samajhtā hai zarūrat merī

    ai na.e daur ye email mubārak ho tujhe

    ye taraqqī nayā taur mubārak ho tujhe

    dil sulagtā hai magar dekh dhuāñ bhī to nahīñ

    hoñT rakhūñ to kahāñ pairoñ ke nishāñ bhī to nahīñ

    dil ke bahlāne ko inbox meñ ghuum aatā huuñ

    ain mumkin hai terā mel koī aayā ho

    garche aayā bhī to mālūm hai kyā lā.egā

    ik tasallī terā paiġhām koī laayā ho

    jaan kar zahar bhī ham zahar piye dete haiñ

    jaane kyoñ page ko refresh kiye dete haiñ

    mel khulte merā saarā bharam TuuT gayā

    dekhiye kyā to hamesha ki liye chhūT gayā

    tishnagī phir se vahī phir se vahī bechainī

    hoñT rakhūñ to kahāñ par ki nishāñ bhī to nahīñ

    yun hi email se aa jate hain sada se KHutut

    sadgi itni ki KHushbu na we rang liye

    han wahi rang jo tere lab-o-ruKHsar ka hai

    ab to kaghaz pe koi naqsh ubharta hi nahin

    han wahi naqsh tere mehndi lage hathon ka

    ab kisi harf se aati nahin KHushbu teri

    kaise alfaz hain ye jo teri sanson ki mahak

    bin sameTe hue chup-chap chale aate hain

    itni chup-chap ki aahaT bhi nahin mil pati

    kam se kam dekhiye aawaz diya karta tha

    aur ab hum yahan logon kiya karte hain

    KHat ke pahlu mein ab aata hi nahin zulf ka baal

    ab to mahsus nahin hoti zaban-e-taslim

    ab to screen pe aadab liya karte hain

    ab faqat DhunDh ke rah jate hain surat teri

    ab to bas tu hi samajhta hai zarurat meri

    ai nae daur ye email mubarak ho tujhe

    ye taraqqi ka naya taur mubarak ho tujhe

    dil sulagta hai magar dekh dhuan bhi to nahin

    honT rakhun to kahan pairon ke nishan bhi to nahin

    dil ke bahlane ko inbox mein ghum aata hun

    ain mumkin hai tera mel koi aaya ho

    garche aaya bhi to malum hai kya laega

    ek tasalli tera paigham koi laya ho

    jaan kar zahar bhi hum zahar piye dete hain

    jaane kyon page ko refresh kiye dete hain

    mel khulte hi mera sara bharam TuT gaya

    dekhiye kya to hamesha ki liye chhuT gaya

    tishnagi phir se wahi phir se wahi bechaini

    honT rakhun to kahan par ki nishan bhi to nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now