Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne aap se

Zahid Dar

apne aap se

Zahid Dar

MORE BYZahid Dar

    maiñ ne logoñ se bhalā kyā sīkhā

    yahī alfāz meñ jhūTī sachchī

    baat se baat milānā dil

    be-yaqīnī ko chhupānā sar ko

    har ġhabī kund-zehn shaḳhs ḳhidmat meñ jhukānā hañsnā

    muskurāte hue kahnā sāhab

    zindagī karne fan aap se behtar to yahāñ koī nahīñ jāntā hai

    guftugū kitnī bhī maj.hūl ho māthā hamvār

    kaan bedār raheñ āñkheñ nihāyat gahrī

    soch meñ Duubī huī

    falsafī aise kitābī zabānī maano

    us se pahle kabhī insān ne dekhe ne sune

    un ko batlā do yahī baat vagarna ik din

    o ruuh din bhī bahut duur nahīñ

    tum nahīñ aaoge ye log kaheñge jāhil

    baat karne salīqa nahīñ jāntā hai

    kyā tumheñ ḳhauf nahīñ aatā hai

    ḳhauf aatā hai ki logoñ nazar se gir kar

    hāzra daur meñ ik shaḳhs jiye to kaise

    shahr meñ lākhoñ ābādī meñ

    ek bhī aisā nahīñ

    jis īmān kisī aise vajūd

    aisī hastī haqīqat hikāyat par ho

    jis tak

    hāzra daur ke jibra.īl ya.anī aḳhbār

    dastaras na ho rasā.ī na ho

    maiñ ne logoñ se bhalā kyā sīkhā

    buzdilī aur jahālat fazā meñ jiinā

    dā.imī ḳhauf meñ rahnā kahnā

    sab barābar haiñ hujūm

    jis taraf jaa.e vahī rasta hai

    maiñ ne logoñ se bhalā kyā sīkhā

    main ne logon se bhala kya sikha

    yahi alfaz mein jhuTi sachchi

    baat se baat milana dil ki

    be-yaqini ko chhupana sar ko

    har ghabi kund-zehn shaKHs ki KHidmat mein jhukana hansna

    muskuraate hue kahna sahab

    zindagi karne ka fan aap se behtar to yahan koi nahin jaanta hai

    guftugu kitni bhi majhul ho matha hamwar

    kan bedar rahen aankhen nihayat gahri

    soch mein Dubi hui

    falsafi aise kitabi ya zabani mano

    us se pahle kabhi insan ne dekhe ne sune

    un ko batla do yahi baat wagarna ek din

    o ruh din bhi bahut dur nahin

    tum nahin aaoge ye log kahenge jahil

    baat karne ka saliqa hi nahin jaanta hai

    kya tumhein KHauf nahin aata hai

    KHauf aata hai ki logon ki nazar se gir kar

    hazra daur mein ek shaKHs jiye to kaise

    shahr mein lakhon ki aabaadi mein

    ek bhi aisa nahin

    jis ka iman kisi aise wajud

    aisi hasti ya haqiqat ya hikayat par ho

    jis tak

    hazra daur ke jibrail ki yani aKHbar

    dastaras na ho rasai na ho

    main ne logon se bhala kya sikha

    buzdili aur jahaalat ki faza mein jina

    daimi KHauf mein rahna kahna

    sab barabar hain hujum

    jis taraf jae wahi rasta hai

    main ne logon se bhala kya sikha

    Source:

    tanhaa.ii (Pg. 252)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now