aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

farishte aadam ko jannat se ruKHsat karte hain

Allama Iqbal

farishte aadam ko jannat se ruKHsat karte hain

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    (Bal-e-Jibril)

    atā huī hai tujhe roz o shab betābī

    ḳhabar nahīñ ki ḳhākī hai ki sīmābī!

    sunā hai ḳhaak se terī numūd hai lekin

    tirī sarisht meñ hai kaukabī o mahtābī!

    jamāl apnā agar ḳhvāb meñ bhī dekhe

    hazār hosh se ḳhush-tar tirī shakar-ḳhvābī

    girāñ-bahā hai tirā girya-e-sahar-gāhī

    isī se hai tire naḳhl-e-kuhan shādābī!

    tirī navā se hai be-parda zindagī zamīr

    ki tere saaz fitrat ne hai mizrābī!

    ata hui hai tujhe roz o shab ki betabi

    KHabar nahin ki tu KHaki hai ya ki simabi!

    suna hai KHak se teri numud hai lekin

    teri sarisht mein hai kaukabi o mahtabi!

    jamal apna agar KHwab mein bhi tu dekhe

    hazar hosh se KHush-tar teri shakar-KHwabi

    giran-baha hai tera girya-e-sahar-gahi

    isi se hai tere naKHl-e-kuhan ki shadabi!

    teri nawa se hai be-parda zindagi ka zamir

    ki tere saz ki fitrat ne ki hai mizrabi!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now