Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fariyaadi matam

Aashufta Changezi

fariyaadi matam

Aashufta Changezi

MORE BYAashufta Changezi

    ḳhudā-e-lam-yazal bārgāh meñ

    sar-ba-sujūd!

    anā chaukhaToñ meñ juḌe chehroñ vaale log

    peshāniyoñ par ġhaTTe Dālne meñ masrūf haiñ

    aaTe meñ sanī muTThiyāñ

    un baḳhshish zamānat haiñ

    ye kaun jannat-e-na.īm hai

    jis rāsta

    chiyūñTiyoñ bāñabī se ho kar guzartā hai

    darbānoñ aur kuttoñ ko khulī āzādī hai

    'jāgte raho' sadā.eñ

    ināyatoñ ḳhirāj vasūl karte nahīñ thaktī haiñ

    circus panDāl khachā-khach bharā hai

    maimanoñ ke baaḌe meñ

    sahamā-dubka…..ġhhās khātā sher

    kaisā be-zarar dikhā.ī detā hai

    baunoñ uchhal-kūd

    falak-shagāf qahqahe…..musalsal qahqahe

    tāliyoñ gūñj!

    mahal-sarā ke band phāTak ko chhū kar lauT aatī hai

    bastī ke jahāñ-dīda būḌhe

    fariyādī mātam karte

    panDāl se ravāna ho jaate haiñ

    KHuda-e-lam-yazal ki bargah mein

    sar-ba-sujud!

    ana ki chaukhaTon mein juDe chehron wale log

    peshaniyon par ghaTTe Dalne mein masruf hain

    aaTe mein sani muTThiyan

    un ki baKHshish ki zamanat hain

    ye kaun si jannat-e-naim hai

    jis ka rasta

    chiyunTiyon ki banabi se ho kar guzarta hai

    darbanon aur kutton ko khuli aazadi hai

    'jagte raho' ki sadaen

    inayaton ka KHiraj wasul karte nahin thakti hain

    circus ka panDal khacha-khach bhara hai

    maimanon ke baDe mein

    sahama-dubka…ghas khata sher

    kaisa be-zarar dikhai deta hai

    baunon ki uchhal-kud

    falak-shagaf qahqahe…musalsal qahqahe

    taliyon ki gunj!

    mahal-sara ke band phaTak ko chhu kar lauT aati hai

    basti ke jahan-dida buDhe

    fariyaadi matam karte

    panDal se rawana ho jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now