Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dam-e-tahrir

Shahnaz Nabi

dam-e-tahrir

Shahnaz Nabi

MORE BYShahnaz Nabi

    dam-e-tahrīr

    jin nāpāk gandī auratoñ se

    kausar-o-tasnīm katrā ke guzreñgī

    jin par duudh aur shahd ke pyāle harām kar diye jā.eñge

    jin ko malā.ek duzdīda nigāhoñ se bhī dekhnā na chāheñge

    jin Thikāna jahannam hogā

    jinheñ dozaḳh aag roz jalā.egī

    jin par ġhaiz-o-ġhazab ke koḌe har saa.at barsā.e jā.eñge

    un meñ ek maiñ bhī huuñ

    mere paañv meñ beḌiyāñ pahnāne

    aur mujhe mahbūs-ḳhāne meñ us vaqt tak rakhne hukm diyā gayā thā

    jab tak ki maiñ apnī sharāratoñ se baaz na aa jā.ūñ

    mujhe har roz baal se bārīk rāste par chalnā paḌtā hai

    talvār dhaar mujhe zaḳhmī kiye detī hai

    mere badan par roz na.e aable paḌte haiñ

    merī āñkheñ garm salāḳhoñ se dāġhī jaatī haiñ

    mujh par roz sang-bārī hotī hai

    jinhoñ ne ek dūsre se baat band kar

    ek dūsre ke saath khānā aur sonā chhoḌ diyā

    un darāḌeñ bhī gahrī hotī ga.iiñ

    mohabbat ko zinā kahne rasm bahut purānī hai

    aur ahd-o-paimāñ bharam qaa.em rakhnā dushvār

    jaane kyoñ

    jannat havā.eñ bilā jhijhak aatī haiñ

    aur gunāhgār auratoñ ko chhū kar guzar jaatī haiñ

    kuñ.eñ meñ āzūqa pahuñchāne vāloñ rassiyāñ chhoTī paḌ ga.ī haiñ

    apne pasīne meñ tar roTī ik ik luqma

    mann-o-salvā se bhī ziyāda ḳhush-zā.eqa hotā rahā hai

    baa.eñ kañdhe par ye bojh kaisā

    aadmī koī hamārā dam-e-tahrīr bhī thā

    dam-e-tahrir

    jin napak gandi auraton se

    kausar-o-tasnim katra ke guzrengi

    jin par dudh aur shahd ke pyale haram kar diye jaenge

    jin ko malaek duzdida nigahon se bhi dekhna na chahenge

    jin ka Thikana jahannam hoga

    jinhen dozaKH ki aag roz jalaegi

    jin par ghaiz-o-ghazab ke koDe har saat barsae jaenge

    un mein ek main bhi hun

    mere panw mein beDiyan pahnane

    aur mujhe mahbus-KHane mein us waqt tak rakhne ka hukm diya gaya tha

    jab tak ki main apni shararaton se baz na aa jaun

    mujhe har roz baal se barik raste par chalna paDta hai

    talwar ki dhaar mujhe zaKHmi kiye deti hai

    mere badan par roz nae aable paDte hain

    meri aankhen garm salaKHon se daghi jati hain

    mujh par roz sang-bari hoti hai

    jinhon ne ek dusre se baat band kar di

    ek dusre ke sath khana aur sona chhoD diya

    un ki daraDen bhi gahri hoti gain

    mohabbat ko zina kahne ki rasm bahut purani hai

    aur ahd-o-paiman ka bharam qaem rakhna dushwar

    jaane kyon

    jannat ki hawaen bila jhijhak aati hain

    aur gunahgar auraton ko chhu kar guzar jati hain

    kunen mein aazuqa pahunchane walon ki rassiyan chhoTi paD gai hain

    apne pasine mein tar roTi ka ek ek luqma

    mann-o-salwa se bhi ziyaada KHush-zaeqa hota ja raha hai

    baen kandhe par ye bojh kaisa

    aadmi koi hamara dam-e-tahrir bhi tha

    Source:

    (Pg. 171)

    • Author: Shahnaz Nabi
      • Publisher: M K Offsete Press,Delhi

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now