aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gae janam ki sada

Parveen Shakir

gae janam ki sada

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    vo ek laḌkī

    ki jis se shāyad maiñ ek pal bhī nahīñ milī huuñ

    maiñ us ke chehre ko jāntī huuñ

    ki us chehra

    tumhārī nazmoñ tumhārī gītoñ chilmanoñ se ubhar rahā hai

    yaqīn jaano

    mujhe ye chehra tumhāre apne vajūd se bhī azīz-tar hai

    ki us ā.ankhoñ meñ

    chāhatoñ ke vahī samundar chhupe haiñ

    jo merī apnī ā.ankhoñ meñ maujzan haiñ

    vo tum ko ik devtā banā kar mirī tarah pūjtī rahī hai

    us ek laḌkī jism

    ḳhud merā badan hai

    vo ek laḌkī

    jo mere apne ga.e janam madhur sadā hai

    wo ek laDki

    ki jis se shayad main ek pal bhi nahin mili hun

    main us ke chehre ko jaanti hun

    ki us ka chehra

    tumhaari nazmon tumhaari giton ki chilmanon se ubhar raha hai

    yaqin jaano

    mujhe ye chehra tumhaare apne wajud se bhi aziz-tar hai

    ki us ki aaankhon mein

    chahaton ke wahi samundar chhupe hain

    jo meri apni aaankhon mein maujzan hain

    wo tum ko ek dewta bana kar meri tarah pujti rahi hai

    us ek laDki ka jism

    KHud mera hi badan hai

    wo ek laDki

    jo mere apne gae janam ki madhur sada hai

    Source:

    kulliyaat-e-maahe tamaam(khushbo) (Pg. 41)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now