Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gharib ki duniya

MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi

    zamīñ se āsmāñ tak sardiyoñ faiz jaarī hai

    ki in ḳhāmosh rātoñ meñ musalsal barf-bārī hai

    chhupe baiThe haiñ sardī se parinde āshiyānoñ meñ

    jidhar dekho chhupe baiThe haiñ sab apne makānoñ meñ

    havā.eñ sard chaltī haiñ fazā-e-āsmānī se

    luTe haiñ nuqra.ī kohre falak rājdhānī se

    magar is barf-bārī se hai kyā ġham māldāroñ ko

    ki Dar tūfāñ se kuchh hotā nahīñ hai ābshāroñ ko

    musībat ghaḌī kyā asar ho zar-parastoñ par

    ki hotī hai zamīñ bhī tang aksar tang-dastoñ par

    guzar-auqāt karte haiñ kabhī dīvār ke nīche

    kabhī ashjār ke nīche kabhī kohsār ke nīche

    ye duniyā hai amīroñ ġharīboñ nahīñ duniyā

    kahīñ par kaash hotī nā-tavānoñ bhī ik duniyā

    jahāñ par peT bharne ke liye nān-e-javīñ miltī

    zarā ārām karne ke liye thoḌī zamīñ miltī

    jahāñ in be-navāoñ bhī hamdard āsmāñ hotā

    jahāñ taskīn-e-dil hotī jahāñ ārām-e-jāñ hotā

    zamin se aasman tak sardiyon ka faiz jari hai

    ki in KHamosh raaton mein musalsal barf-bari hai

    chhupe baiThe hain sardi se parinde aashiyanon mein

    jidhar dekho chhupe baiThe hain sab apne makanon mein

    hawaen sard chalti hain faza-e-asmani se

    luTe hain nuqrai kohre falak ki rajdhani se

    magar is barf-bari se hai kya gham maldaron ko

    ki Dar tufan se kuchh hota nahin hai aabshaaron ko

    musibat ki ghaDi ka kya asar ho zar-paraston par

    ki hoti hai zamin bhi tang aksar tang-daston par

    guzar-auqat karte hain kabhi diwar ke niche

    kabhi ashjar ke niche kabhi kohsar ke niche

    ye duniya hai amiron ki gharibon ki nahin duniya

    kahin par kash hoti na-tawanon ki bhi ek duniya

    jahan par peT bharne ke liye nan-e-jawin milti

    zara aaram karne ke liye thoDi zamin milti

    jahan in be-nawaon ka bhi hamdard aasman hota

    jahan taskin-e-dil hoti jahan aaram-e-jaan hota

    Source:

    Aaina-e-Ayyam (Pg. 52)

    • Author: Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
      • Publisher: Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now