Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gharib

Majeed Amjad

gharib

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    nannhī bholī maile maile gāloñ vaalī be-sudh ik bachchī

    terī jānib dekh rahī hai dekh us āñkheñ terī tavajjoh pyāsī haiñ

    us nāzuk behis ThoḌī ko apnī uñglī sunahrī por se mas to kar aur

    us se itnā to pūchh achchhī billū kyoñ chup hai

    aur jab vo muñh pher ke apnī āñkheñ apne chehre pe jhukā le

    baḌh kar us ke māthe ko apne hoñToñ se lagā le haañ aise

    kyoñ us jhanjhelū ne tujh se kahā kyā

    ye kyā terī āñkheñ bhiig ga.iiñ kyoñ

    us ne tujh se kahā kyā sātoñ āsmānoñ ke mālik

    itne patle dil vaale mālik ham bhī roz us chehre kathā sunte haiñ

    ham to kaḌā kar lete haiñ aise mauqoñ par

    nannhi bholi maile maile galon wali be-sudh si ek bachchi

    teri jaanib dekh rahi hai dekh us ki aankhen teri tawajjoh ki pyasi hain

    us ki nazuk behis ThoDi ko apni ungli ki sunahri por se mas to kar aur

    us se itna to puchh achchhi billu tu kyon chup hai

    aur jab wo munh pher ke apni aankhen apne hi chehre pe jhuka le

    tu hi baDh kar us ke mathe ko apne honTon se laga le han aise hi

    kyon us jhanjhelu ne tujh se kaha kya

    ye kya teri aankhen bhig gain kyon

    us ne tujh se kaha kya saton aasmanon ke malik

    itne patle dil wale malik hum bhi roz us chehre ki katha sunte hain

    hum to kaDa kar lete hain ji aise mauqon par

    Source:

    1970 Ki Muntakhab Shairi (Pg. 12)

      • Publisher: P. K. Publications, Delhi
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now