Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gopal mittal dehli ke nam

Raza Naqvi Vahi

gopal mittal dehli ke nam

Raza Naqvi Vahi

MORE BYRaza Naqvi Vahi

    ai hazrat-e-mittal ye karam hai ki sitam hai

    kyuuñ lutf nazar aap nā-chīz pe kam hai

    vallāh ki haiñ aap bhī ik zinda ajā.ib

    sahrā meñ azaañ de ke kahāñ ho ga.e ġhā.eb

    maanā ki mire shahar se dillī hai bahut duur

    jaise ki rah-o-rasm-e-vafā se dil-e-maḳhmūr

    ye baat kahe kaun

    jañgal meñ agar bel pakā hai to chakhe kaun

    sahrā meñ jo gūñjī hai vo āvāz sune kaun

    jab tak nahīñ pahuñche dil-e-sāhib nazar un tak

    shorīda-sarāñ tak

    āvāz-e-azāñ kyā

    gul-bāñg-e-fuġhāñ kyā

    maiñ kaan meñ uñglī diye baiThā to nahīñ huuñ

    bahrā to nahīñ huuñ

    go haath meñ jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hai

    phir ġhaib sabab kyuuñ

    is banda-e-nāchīz pe taḳhfīf-e-karam hai

    ye bhī nahīñ kahtā ki mujhe muft bhejeñ

    taufīq ba-andāza-e-himmat huuñ qaa.il

    maiñ aap derīna sharāfat huuñ qaa.il

    har haal meñ rāzī-ba-razā huuñ

    hadiya bhī adā karne se inkār nahīñ hai

    aapas meñ takalluf dīvār nahīñ hai

    phir mujh pe taġhāful nazar kyuuñ hai jafā kyuuñ

    ye hazrat-e-'maḳhmūr'-sa.īdī adā hai

    ai hazrat-e-mittal ye karam hai ki sitam hai

    kyun lutf nazar aap ka na-chiz pe kam hai

    wallah ki hain aap bhi ek zinda ajaib

    sahra mein azan de ke kahan ho gae ghaeb

    mana ki mere shahar se dilli hai bahut dur

    jaise ki rah-o-rasm-e-wafa se dil-e-maKHmur

    ye baat kahe kaun

    jangal mein agar bel paka hai to chakhe kaun

    sahra mein jo gunji hai wo aawaz sune kaun

    jab tak nahin pahunche dil-e-sahib nazar un tak

    shorida-saran tak

    aawaz-e-azan kya

    gul-bang-e-fughan kya

    main kan mein ungli diye baiTha to nahin hun

    bahra to nahin hun

    go hath mein jumbish nahin aankhon mein to dam hai

    phir ghaib sabab kyun

    is banda-e-nachiz pe taKHfif-e-karam hai

    ye bhi nahin kahta ki mujhe muft hi bhejen

    taufiq ba-andaza-e-himmat ka hun qail

    main aap ki derina sharafat ka hun qail

    har haal mein raazi-ba-raza hun

    hadiya bhi ada karne se inkar nahin hai

    aapas mein takalluf ki diwar nahin hai

    phir mujh pe taghaful ki nazar kyun hai jafa kyun

    ye hazrat-e-'maKHmur'-saidi ki ada hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now