Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guDiya ki shadi

Ameen Hazin

guDiya ki shadi

Ameen Hazin

MORE BYAmeen Hazin

    guḌiyā hamārī javān hai

    ab us shādī dhyān hai

    achchhā guDDā dikhāo

    rishta koī achchhā laao

    guḌiyā hai aThārah saal

    mālik hai husn-o-jamāl

    ta.alīm bhī us ne paa.ī hai

    aur mehnatī intihā.ī hai

    guDDā ho ikkīs saal

    ḳhush-ḳhulq achchhe ḳhayāl

    gorā ho sāñvlā ho vo

    kyā dekhnā us ke rañg ko

    kartā na ho vo nasha koī

    kartā ho dhanda naukrī

    paañv pe apne khaḌā ho vo

    achchhā sambhāle jo biivī ko

    ho fikr us ko samāj

    aur apne bhī kaam kaaj

    lālach kabhī na ho jahez

    aisā koī guDDā laao

    guḌiyā haq jo adā kare

    apne barābar darja de

    har baat agar tum ne maan

    Thahrā lo tārīḳh aqd

    guDiya hamari jawan hai

    ab us ki shadi ka dhyan hai

    achchha sa guDDa dikhao ji

    rishta koi achchha lao ji

    guDiya hai aThaarah sal ki

    malik hai husn-o-jamal ki

    talim bhi us ne pai hai

    aur mehnati intihai hai

    guDDa ho ikkis sal ka

    KHush-KHulq achchhe KHayal ka

    gora ho ya sanwla ho wo

    kya dekhna us ke rang ko

    karta na ho wo nasha koi

    karta ho dhanda ya naukri

    panw pe apne khaDa ho wo

    achchha sambhaale jo biwi ko

    ho fikr us ko samaj ki

    aur apne bhi kaam kaj ki

    lalach kabhi na ho jahez ki

    aisa koi guDDa lao ji

    guDiya ka haq jo ada kare

    apne barabar ka darja de

    har baat agar tum ne man li

    Thahra lo tariKH aqd ki

    Source:

    kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 131)

    • Author: Ameen Hazin
      • Edition: 2005
      • Publisher: Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now