Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gujraat ki raat

Akhtar Shirani

gujraat ki raat

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    aaj qismat se nazar aa.ī hai barsāt raat

    kyā bigaḌ jā.egā rah jaao yahīñ raat raat

    un pā-bosī ko jaa.e to sabā kah denā

    aaj tak yaad hai vo aap ke gujrāt raat

    jis meñ salmā ke tasavvur ke haiñ taare raushan

    merī āñkhoñ hai vo ālam-e-jazbāt raat

    haa.e vo mast ghaTā haa.e vo salmā adā

    aah vo rūd-e-chanāb aah vo gujrāt raat

    mere siine meñ idhar zulf-e-muattar hujūm

    aah vo zulf ki āvāra ḳharābāt raat

    sat.h-e-doyā pe idhar nashshe meñ lahrā.ī huī

    rañg laa.ī huī chhā.ī huī barsāt raat

    uf vo soī huī khoī huī fitrat bahār

    uf vo mahkī huī bahkī huī barsāt raat

    phir vo armān ham-āġhoshī jazb-e-gustāḳh

    aah vo raat vo salmā se mulāqāt raat

    kyuuñ na un donoñ pe miTne ho hasrat aḳhtar

    uf vo us raat baat aah vo us baat raat

    aaj qismat se nazar aai hai barsat ki raat

    kya bigaD jaega rah jao yahin raat ki raat

    un ki pa-bosi ko jae to saba kah dena

    aaj tak yaad hai wo aap ke gujraat ki raat

    jis mein salma ke tasawwur ke hain tare raushan

    meri aankhon hai wo aalam-e-jazbaat ki raat

    hae wo mast ghaTa hae wo salma ki ada

    aah wo rud-e-chanab aah wo gujraat ki raat

    mere sine mein idhar zulf-e-muattar ka hujum

    aah wo zulf ki aawara KHarabaat ki raat

    sath-e-doya pe idhar nashshe mein lahrai hui

    rang lai hui chhai hui barsat ki raat

    uf wo soi hui khoi hui fitrat ki bahaar

    uf wo mahki hui bahki hui barsat ki raat

    phir wo arman ham-aghoshi ka jazb-e-gustaKH

    aah wo raat wo salma se mulaqat ki raat

    kyun na un donon pe miTne ki ho hasrat aKHtar

    uf wo us raat ki baat aah wo us baat ki raat

    Source:

    Urdu Nazm Ke Silsile (Pg. 112)

    • Author: Aleem Saba Navedi
      • Edition: 2008
      • Publisher: Tamilnadu Urdu Publications, Chennai
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now