aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul

MORE BYMoin Ahsan Jazbi

    ai gul-e-rañgīñ-qabā ai ġhāza-e-rū-e-bahār

    hai ḳhud apne jamāl-e-husn ā.īna-dār

    haa.e vo tere tabassum adā vaqt-e-sahar

    sub.h ke taare ne apnī jaan tak kar nisār

    sharm ke maare gulābī hai idhar rū-e-shafaq

    shabnam-āgīñ hai idhar peshānī-e-sub.h-e-bahār

    yuuñ nigār-e-mahr tere sāmne aayā to kyā

    laḌkhaḌātā sar jhukā.e zard sīmāb-vār

    ḳhāmushī terī adā hai, sādgī fitrat meñ hai

    phir bhī jo terā harīf-e-husn hai, hairat meñ hai

    ai gul-e-nāzuk-adā, ai ḳhanda-e-sub.h-e-chaman

    chūmtī hai tere hoñToñ ko nasīm-e-mushk-e-tan

    gher leñ jaise urūs-e-nau ko ham-sin laḌkiyāñ

    yuuñ tujhe ghere hue haiñ nau-nihālān-e-chaman

    vādiyoñ meñ tuu, bayābānoñ meñ tuu, bastī meñ

    raunaq-e-har-mahfil o zīnat-dah-e-har-anjuman

    ye adā-e-sādgī, mahbūbiyat, ma.asūmiyat

    rah-e-hastī meñ kis andāz se hai gāmzan

    josh-e-sarmastī meñ vo mauj-e-sabā chheḌ-chhāḌ

    vo tire aariz pe ik halke tabassum shikan

    zamīn-e-rañg-o-bū, āsmān-e-rañg-o-bū

    muḳhtasar ye hai ki hai ik jahān-e-rañg-o-bū

    ai gul-e-rangin-qaba ai ghaza-e-ru-e-bahaar

    tu hai KHud apne jamal-e-husn ka aaina-dar

    hae wo tere tabassum ki ada waqt-e-sahar

    subh ke tare ne apni jaan tak kar di nisar

    sharm ke mare gulabi hai idhar ru-e-shafaq

    shabnam-agin hai idhar peshani-e-subh-e-bahaar

    yun nigar-e-mahr tere samne aaya to kya

    laDkhaData sar jhukae zard ru simab-war

    KHamushi teri ada hai, sadgi fitrat mein hai

    phir bhi jo tera harif-e-husn hai, hairat mein hai

    ai gul-e-nazuk-ada, ai KHanda-e-subh-e-chaman

    chumti hai tere honTon ko nasim-e-mushk-e-tan

    gher len jaise urus-e-nau ko ham-sin laDkiyan

    yun tujhe ghere hue hain nau-nihaalan-e-chaman

    wadiyon mein tu, bayabanon mein tu, basti mein tu

    raunaq-e-har-mahfil o zinat-dah-e-har-anjuman

    ye ada-e-sadgi, mahbubiyat, masumiyat

    tu rah-e-hasti mein kis andaz se hai gamzan

    josh-e-sarmasti mein wo mauj-e-saba ki chheD-chhaD

    wo tere aariz pe ek halke tabassum ki shikan

    tu zamin-e-rang-o-bu, tu aasman-e-rang-o-bu

    muKHtasar ye hai ki tu hai ek jahan-e-rang-o-bu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now