Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulab aur kapas

Ishrat Afreen

gulab aur kapas

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    khet meñ kaam kartī huī laḌkiyāñ

    jeTh champa.ī dhuup ne

    jin suunā badan surma.ī kar diyā

    jin ko rātoñ meñ os aur paale bistar mile

    din ko sūraj saroñ par jale

    ye hare lawn meñ

    sañg-e-marmar benchoñ pe baiThī huī

    in mūratoñ se kahīñ ḳhūbsūrat kahīñ muḳhtalif

    jin ke joḌe meñ juuhī kaliyāñ sajeñ

    jo gulāb aur bele ḳhushbū piyeñ

    aur rañgoñ hiddat se pāgal phireñ

    khet meñ dhuup chuntī huī laḌkiyāñ bhī

    na.ī umr sabz dahlīz par haiñ

    magar aa.ina tak nahīñ dekhtīñ

    ye gulāb aur daisy hiddat se nā-āshnā

    ḳhushbuoñ ke javāñ lams se be-ḳhabar

    phuul chuntī haiñ lekin pahantī nahīñ

    un ke malbūs meñ

    tez sarsoñ ke phūloñ baas

    un āñkhoñ meñ raushan kapās

    khet mein kaam karti hui laDkiyan

    jeTh ki champai dhup ne

    jin ka suna badan surmai kar diya

    jin ko raaton mein os aur pale ka bistar mile

    din ko suraj saron par jale

    ye hare lawn mein

    sang-e-marmar ki benchon pe baiThi hui

    in muraton se kahin KHubsurat kahin muKHtalif

    jin ke joDe mein juhi ki kaliyan sajen

    jo gulab aur bele ki KHushbu piyen

    aur rangon ki hiddat se pagal phiren

    khet mein dhup chunti hui laDkiyan bhi

    nai umr ki sabz dahliz par hain

    magar aaina tak nahin dekhtin

    ye gulab aur daisy ki hiddat se na-ashna

    KHushbuon ke jawan lams se be-KHabar

    phul chunti hain lekin pahanti nahin

    un ke malbus mein

    tez sarson ke phulon ki bas

    un ki aankhon mein raushan kapas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now