Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gum-shuda aadmi ka intizar

Chandrabhan Khayal

gum-shuda aadmi ka intizar

Chandrabhan Khayal

MORE BYChandrabhan Khayal

    lahū-nosh lamhoñ ke bedār saa.e

    use gher leñge sināneñ uThā.e

    tamāzat-zada shab zan-e-bākara

    simaT jā.egī aur bhī apne tan meñ

    vo sūraj sāthī añdheroñ ke ban meñ

    asāsa liye fikr apne fan meñ

    shuāoñ suulī pe zinda Tañgā hai

    na ab shahr meñ koī itnā hazīñ hai

    ġhazabnāk tanhā.iyoñ ko yaqīñ hai

    ki us ke muqaddar meñ vo ḳhud nahīñ hai

    vo ik infirādī haqīqat haamī

    fasīloñ pe vahm-o-gumāñ khaḌā hai

    shahr-zād shabnam se ye pūchhtā hai

    ki sūraj ke siine meñ kyā kyā chhapā hai

    magar shaam surḳh āñkhoñ ne is par

    hamesha sulagtī huī raakh Daalī

    tah-e-ātish-e-sruḳh-rū vo savālī

    ki jis ne hathelī pe sarsoñ jamā

    kisī devtā nigāh-e-ġhazab se

    banā ajnabī apne ābād ghar meñ

    kabhī is nagar meñ kabhī us nagar meñ

    kabhī bas gayā sirf dīvār-o-dar meñ

    vo ik shaḳhs tanhā ki jis abhī tak

    safar hai musalsal na ghar mustaqil hai

    faqat paas meñ us ke ma.asūm dil hai

    magar kis qadar muztarib muzmahil hai

    jo shahr-e-anā meñ khaḌā sochtā hai

    kahāñ raat kaaTe kahāñ din bitā.e

    hathelī pe duniyā naqsha banā.e

    bhaTaktā hai vo aaj bhī choT khaa.e

    are gum-shuda aadmī aa ke mil

    are gum-shuda aadmī aa ke mil

    lahu-nosh lamhon ke bedar sae

    use gher lenge sinanen uThae

    tamazat-zada shab zan-e-bakara si

    simaT jaegi aur bhi apne tan mein

    wo suraj ka sathi andheron ke ban mein

    asasa liye fikr ka apne fan mein

    shuaon ki suli pe zinda Tanga hai

    na ab shahr mein koi itna hazin hai

    ghazabnak tanhaiyon ko yaqin hai

    ki us ke muqaddar mein wo KHud nahin hai

    wo ek infiradi haqiqat ka hami

    fasilon pe wahm-o-guman ki khaDa hai

    shahr-zad shabnam se ye puchhta hai

    ki suraj ke sine mein kya kya chhapa hai

    magar sham ki surKH aankhon ne is par

    hamesha sulagti hui rakh Dali

    tah-e-atish-e-sruKH-ru wo sawali

    ki jis ne hatheli pe sarson jama li

    kisi dewta ki nigah-e-ghazab se

    bana ajnabi apne aabaad ghar mein

    kabhi is nagar mein kabhi us nagar mein

    kabhi bas gaya sirf diwar-o-dar mein

    wo ek shaKHs tanha ki jis ka abhi tak

    safar hai musalsal na ghar mustaqil hai

    faqat pas mein us ke masum dil hai

    magar kis qadar muztarib muzmahil hai

    jo shahr-e-ana mein khaDa sochta hai

    kahan raat kaTe kahan din bitae

    hatheli pe duniya ka naqsha banae

    bhaTakta hai wo aaj bhi choT khae

    are gum-shuda aadmi aa ke mil ja

    are gum-shuda aadmi aa ke mil ja

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 675)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now