Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghurur ki haar

Abdul Mateen Niyaz

ghurur ki haar

Abdul Mateen Niyaz

MORE BYAbdul Mateen Niyaz

    ik phuul kahānī bachcho sunā.ūñ tum ko

    ye baat kaam hai aao batā.ūñ tum ko

    ik phuul thā chaman meñ ma.asūm pyārā pyārā

    har phuul se chaman ke thā rañg us nyārā

    har phuul dil se us tāzīm kar rahā thā

    aur us bartarī ko taslīm kar rahā thā

    kartā thā pyaar har dam saarā baaġh us ko

    hāsil thā sab ġhamoñ se ya.anī farāġh us ko

    apne ko ke tanhā ik din ye us ne sochā

    kartā hai merī izzat har phuul chaman

    ya.anī maiñ is chaman meñ huuñ sab se ḳhūbsūrat

    shāyad isī liye sab karte haiñ merī izzat

    ye baat us ne sochī maġhrūr ho gayā vo

    nekī ke rāste se phir duur ho gayā vo

    andāz jab chaman ke phūloñ ne us dekhā

    ye faisla kiyā ham hoñge na us pe shaidā

    phir yuuñ huā ki rūThī us se chaman bastī

    mālūm ho ga.ī phir us gul ko apnī hastī

    al-qissa us ne bachcho apnā ġhurūr toḌā

    ulfat gale lagā.ī nafrat ko duur chhoḌā

    vo phuul ho gayā phir saare chaman ko pyārā

    aur ban gayā chaman meñ āñkhoñ sab ke taarā

    ek phul ki kahani bachcho sunaun tum ko

    ye baat kaam ki hai aao bataun tum ko

    ek phul tha chaman mein masum pyara pyara

    har phul se chaman ke tha rang us ka nyara

    har phul dil se us ki tazim kar raha tha

    aur us ki bartari ko taslim kar raha tha

    karta tha pyar har dam sara hi bagh us ko

    hasil tha sab ghamon se yani faragh us ko

    apne ko pa ke tanha ek din ye us ne socha

    karta hai meri izzat har phul hi chaman ka

    yani main is chaman mein hun sab se KHubsurat

    shayad isi liye sab karte hain meri izzat

    ye baat us ne sochi maghrur ho gaya wo

    neki ke raste se phir dur ho gaya wo

    andaz jab chaman ke phulon ne us ka dekha

    ye faisla kiya hum honge na us pe shaida

    phir yun hua ki ruThi us se chaman ki basti

    malum ho gai phir us gul ko apni hasti

    al-qissa us ne bachcho apna ghurur toDa

    ulfat gale lagai nafrat ko dur chhoDa

    wo phul ho gaya phir sare chaman ko pyara

    aur ban gaya chaman mein aankhon ki sab ke tara

    Source:

    Titliyon Ke Geet (Pg. 57)

    • Author: Abdul Mateen Niyaz
      • Publisher: Abdul Mateen Niyaz
      • Year of Publication: 1988

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now