Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

habil

MORE BYZia Jalandhari

    avvalīñ zā.iqa-e-ḳhūñ se thī lab-talḳh vo ḳhaak

    jis pe maiñ TuuTī huī shāḳh ke mānind girā

    kin sharāroñ dahak dīda-e-qābīl meñ thī

    vo hasad thā ki havas taish ki nafrat kyā thā

    aur phir mere badan mere lahū meñ utrā

    avvalīñ be-basi-e-karb-e-fanā idrāk

    bujh ga.ī sham-e-nazar miT ga.e āvāz ke naqsh

    bū-e-gul, jū-e-sabā, najm-e-sahar kuchh na rahā

    larzish-e-mauj-e-tanaffus ke karishme the tamām

    rū-e-jānāñ ġham-e-jāñ dīda-e-tar kuchh na rahā

    nasl-dar-nasl yūñhī mere lahū pyāsā

    nār-e-namrūd bhī vo naḳhvat-e-fir.aun bhī vo

    jām-e-zahrāb bhī vo tesha bhī vo daar bhī vo

    ḳhanjar-e-shimr bhī vo tarkash-e-chañgez bhī vo

    asia meñ kabhī africa meñ ḳhūñ-rez bhī vo

    aur qābīl se irshād kiyā thā ne

    ḳhūn-e-hābīl in zarroñ se aatī hai

    phail kar ab vahī saare jahāñ par hai muhīt

    kyā ye tā-ba-abad merā muqaddar hogī

    kyā tire izn se qābīl ḳhū qaa.em hai

    kyā ye ḳhū tā-ba-abad merā muqaddar hogī

    awwalin zaiqa-e-KHun se thi lab-talKH wo KHak

    jis pe main TuTi hui shaKH ke manind gira

    kin shararon ki dahak dida-e-qabil mein thi

    wo hasad tha ki hawas taish ki nafrat kya tha

    aur phir mere badan mere lahu mein utra

    awwalin be-basi-e-karb-e-fana ka idrak

    bujh gai sham-e-nazar miT gae aawaz ke naqsh

    bu-e-gul, ju-e-saba, najm-e-sahar kuchh na raha

    larzish-e-mauj-e-tanaffus ke karishme the tamam

    ru-e-jaanan gham-e-jaan dida-e-tar kuchh na raha

    nasl-dar-nasl yunhi mere lahu ka pyasa

    nar-e-namrud bhi wo naKHwat-e-firaun bhi wo

    jam-e-zahrab bhi wo tesha bhi wo dar bhi wo

    KHanjar-e-shimr bhi wo tarkash-e-changez bhi wo

    asia mein kabhi africa mein KHun-rez bhi wo

    aur qabil se irshad kiya tha tu ne

    KHun-e-habil ki in zarron se bu aati hai

    phail kar ab wahi bu sare jahan par hai muhit

    kya ye bu ta-ba-abad mera muqaddar hogi

    kya tere izn se qabil ki KHu qaem hai

    kya ye KHu ta-ba-abad mera muqaddar hogi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zia Jalandhari

    Zia Jalandhari

    Source:

    sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 245)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now