Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haji bhai pani wala

Saqi Faruqi

haji bhai pani wala

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    donoñ mashkīze labā-lab

    ek chumbak tarah

    apnī jānib khīñchte rahte use

    fīl-bandī qahr thī

    mard gāhak masḳharī karte hue Darte

    zarā mohtāt rahte

    jhurjhurī svāñg bharte

    aurteñ maġhmūm āñkhoñ meñ

    taras kāḌhe hue

    apne bachchoñ par baras paḌtīñ

    agar vo bad-lihāz

    bholpan se pūchh lete

    kyuuñ nahīñ

    us ke falānoñ tarah

    un ke falāne kyuuñ nahīñ

    vo ḳhudā.ī farsh par ukḌūñ

    kabhī gautam ke aasan meñ kabhī

    tahmad se bāhar paañv phailā ke

    akaḌ kar baiThtā

    baar baar is vāste pahlū badaltā

    jugal-garī kartā ki pairoñ meñ

    hamesha jhunjhunī ke jhunjhune bajte

    ajab ik mustaqil bekalī rahtī

    vo ġhubāre phaTe paḌte the

    jin par taañt niilī rageñ phūlī huī

    nanhe-munne kechuoñ tarah

    kunDlī maar ke baiThī huī thiiñ

    jis tarah kanghā chhupāne ke liye

    us ne sir-sayyad dāḌhī hū-ba-hū

    pilpile tarbūz par

    us luñgī mez-posh aisī paḌī rahtī

    is maraz fā.eda itnā huā

    apnī chaukī se farāġhat gayā

    ye ki raddī phaaḌ kar

    apne thaile apnī godī meñ sameTe

    vo unhī par

    saarī puḌyā.eñ banātā

    lauñg dhaniya dār-chīnī jā.e-phal aur tej-pāt

    sab masāle us rānoñ ke maze

    chakhe hue the

    ġhībatī jal-kukḌe aise the ki bas

    saaf kahte is ne ka.abe ziyārat

    nahīñ hai

    faqat ajmer kar lauT aayā

    balki ye bhī mushtaba

    is pahāḌī se utarnā

    dūsrī qasd karnā

    hājiyoñ dhīñgā-mushtī lapā-dagī rel-pel

    phir gunāhoñ ke piTāre tarah laTkī huī

    fāltū gaThrī alag

    us hālat ġhair thī

    haj to mumkin nahīñ

    jitne hāsid utnī bāteñ

    ek roz

    vo ulahnoñ se niDhāl

    maut bāñhoñ meñ bāñheñ Daal ke

    apne aaqā taraf

    apne raaz apne mafā.īlun uThā.e chal paḌā

    kisī mulk meñ ek thā bādshāh

    hamārā tumhārā ḳhudā bādshāh

    donon mashkize laba-lab

    ek chumbak ki tarah

    apni jaanib khinchte rahte use

    fil-bandi qahr thi

    mard gahak masKHari karte hue Darte

    zara mohtat rahte

    jhurjhuri ka swang bharte

    aurten maghmum aankhon mein

    taras kaDhe hue

    apne bachchon par baras paDtin

    agar wo bad-lihaz

    bholpan se puchh lete

    kyun nahin

    us ke falanon ki tarah

    un ke falane kyun nahin

    wo KHudai farsh par ukDun

    kabhi gautam ke aasan mein kabhi

    tahmad se bahar panw phaila ke

    akaD kar baiThta

    bar bar is waste pahlu badalta

    jugal-gari karta ki pairon mein

    hamesha jhunjhuni ke jhunjhune bajte

    ajab ek mustaqil si bekali rahti

    wo ghubare phaTe paDte the

    jin par tant si nili ragen phuli hui

    nanhe-munne kechuon ki tarah

    kunDli mar ke baiThi hui thin

    jis tarah kangha chhupane ke liye

    us ne sir-sayyad ki daDhi hu-ba-hu

    pilpile tarbuz par

    us ki lungi mez-posh aisi paDi rahti

    is maraz ka faeda itna hua

    apni chauki se faraghat pa gaya

    ye ki raddi phaD kar

    apne thaile apni godi mein sameTe

    wo unhi par

    sari puDyaen banata

    laung dhaniya dar-chini jae-phal aur tej-pat

    sab masale us ki ranon ke maze

    chakhe hue the

    ghibati jal-kukDe aise the ki bas

    saf kahte is ne kabe ki ziyarat hi

    nahin ki hai

    faqat ajmer ja kar lauT aaya

    balki ye bhi mushtaba

    is pahaDi se utarna

    dusri ka qasd karna

    hajiyon ki dhinga-mushti lapa-dagi rel-pel

    phir gunahon ke piTare ki tarah laTki hui

    faltu gaThri alag

    us ki haalat ghair thi

    haj to mumkin hi nahin

    jitne hasid utni baaten

    ek roz

    wo ulahnon se niDhaal

    maut ki banhon mein banhen Dal ke

    apne aaqa ki taraf

    apne raaz apne mafailun uThae chal paDa

    kisi mulk mein ek tha baadshah

    hamara tumhaara KHuda baadshah

    RECITATIONS

    Atif Bloch

    Atif Bloch,

    Atif Bloch

    haajii bhaa.ii paanii vaalaa Atif Bloch

    Source:

    Haji Bhai Pani Wala (Pg. 56)

    • Author: Saqi Faruqi
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now