Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

han meri mahbuba

Sarmad Sahbai

han meri mahbuba

Sarmad Sahbai

MORE BYSarmad Sahbai

    na to koī bhed hai

    aur na bhed bharī thailī chhuTā huā koī ain mahbūba

    haañ merī mahbūba

    terā naam pata aur shajara-e-nasab to jānte haiñ ham

    andar bāhar

    zāhir bātin

    donoñ samt aane jaane vaale haiñ ham

    tere ghar ke bhedī haiñ o bhedan baarī

    kabhī haqīqī kabhī majāzī

    tarah tarah se tere aam se jism lazzat le lete haiñ

    apnā to kuchh bhī nahīñ jaatā

    lafz se lafz banāne vaale

    koī bhī ġham ho

    lafz golī rañg badalte lamhoñ gañgā meñ ghol ke jaate haiñ

    saare gunāh siyāsī

    aḳhlāqī rūhānī

    apne saath lipaT kar ḳhvāb gahrī be-hoshī meñ

    so jaate haiñ

    dūsre din nayā svāñg rachā letī hai

    ham bhī apne apne nusḳhe badal badal kar lete haiñ

    tu na to koi bhed hai

    aur na hi bhed bhari thaili ka chhuTa hua koi ain mahbuba

    han meri mahbuba

    tera nam pata aur shajara-e-nasab to jaante hain hum

    andar bahar

    zahir baatin

    donon samt hi aane jaane wale hain hum

    tere ghar ke bhedi hain o bhedan bari

    kabhi haqiqi kabhi majazi

    tarah tarah se tere aam se jism ki lazzat le lete hain

    apna to kuchh bhi nahin jata

    lafz se lafz banane wale

    koi bhi gham ho

    lafz ki goli rang badalte lamhon ki ganga mein ghol ke pi jate hain

    sare gunah siyasi

    aKHlaqi ruhani

    apne sath lipaT kar KHwab ki gahri be-hoshi mein

    so jate hain

    dusre din tu naya swang racha leti hai

    hum bhi apne apne nusKHe badal badal kar ji lete hain

    Source:

    siip-volume-35 (Pg. 146)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now