Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum hind ke shaidai

Masooda Hayat

hum hind ke shaidai

Masooda Hayat

MORE BYMasooda Hayat

    is des vaadī meñ har phuul mahaktā hai

    har qaum ke rahbar kirdār lahaktā hai

    apnā ho ki begāna bulbul chahaktā hai

    har maz.hab-o-millat ne bhārat meñ amaañ paa.ī

    ham hind ke rakhvāle ham hind ke shaidā.ī

    ik amn-o-mohabbat tafsīr hai ye gulshan

    īsār-o-uḳhuvvat tasvīr hai ye gulshan

    ta.amīr-o-taraqqī tanvīr hai ye gulshan

    har gosha-e-bhārat hai ḳhud apnā tamāshā.ī

    ham hind ke rakhvāle ham hind ke shaidā.ī

    har fard ko jiine andāz sikhā deñge

    kyā shai hai ravādārī duniyā ko dikhā deñge

    har nasl ke insāñ ko ham ek banā deñge

    sūraj kiran ab to bādal se nikal aa.ī

    ham hind ke rakhvāle ham hind ke shaidā.ī

    is des ki wadi mein har phul mahakta hai

    har qaum ke rahbar ka kirdar lahakta hai

    apna ho ki begana bulbul sa chahakta hai

    har mazhab-o-millat ne bhaarat mein aman pai

    hum hind ke rakhwale hum hind ke shaidai

    ek amn-o-mohabbat ki tafsir hai ye gulshan

    isar-o-uKHuwwat ki taswir hai ye gulshan

    tamir-o-taraqqi ki tanwir hai ye gulshan

    har gosha-e-bhaarat hai KHud apna tamashai

    hum hind ke rakhwale hum hind ke shaidai

    har fard ko jine ka andaz sikha denge

    kya shai hai rawadari duniya ko dikha denge

    har nasl ke insan ko hum ek bana denge

    suraj ki kiran ab to baadal se nikal aai

    hum hind ke rakhwale hum hind ke shaidai

    Source:

    Tasveer-e-Watan (Pg. 54)

    • Author: Masooda Hayat
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now